Muflison Ka Qaumi Tarana, Urdu Nazam By Qazi Ghulam Mohammad

Muflison Ka Qaumi Tarana is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Muflison Ka Qaumi Tarana comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Muflison Ka Qaumi Tarana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مفلسوں کا قومی ترانہ

قاضی غلام محمد

یہی مری خواب گاہ عشرت یہی ہے میرا نگار خانہ

دھوئیں کی رنگین بدلیوں میں پکا رہی ہے جہاں وہ کھانا

یہیں اندھیروں سے مل کے ہم چاندنی کے چھکے چھڑا رہے ہیں

یہیں ہمارا صلہ مقرر ہوا ہے ادبار جاودانہ

یہیں اسے گیلی لکڑیوں نے خوشی کے آنسو بہاتے دیکھا

یہیں اسے راکھ کی تہوں نے بنا دیا غیر شاعرانہ

یہیں مری سخت جان غیرت یہ بارہا سن چکی ہے اب تک

ابے تری مفلسی کے چرچے سنے تھے میں نے تو غائبانہ

یہیں وہ جان وفا مری آرزو کی رنگینیوں کی خاطر

چھڑک کے بالوں میں عطر اندیشہ کرتی رہتی ہے ان میں شانہ

اگر نحوست کی جان ہے وہ تو بندہ ایمان مفلسی ہے

اسی لئے ایک دوسرے سے ہمیں محبت ہے والہانہ

الٰہی تیری عنایتوں کا یہ ایک ادنیٰ سا ہے کرشمہ

ہمارے افلاس بے کراں کا جو آج ہے معترف زمانہ

وہ اس کا جاڑے کی سرد راتوں میں مجھ سے ایندھن کی بات کرنا

کہ جیسے یہ چیز ماورائی ہو یا الف لیلوی فسانہ

طویل فاقوں کے بعد دونوں کا پیچ پی کر وہ جھوم اٹھنا

وہ اس کی شرمیلی سی نگاہیں وہ میرے جذبات عاشقانہ

خوشی میں ساری خدائی میں ہاف ڈے منایا گیا تھا اس دن

وجود میں آ گیا تھا جس دن ہماری الفت کا شاخسانہ

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muflison Ka Qaumi Tarana

Qazi Ghulam Mohammad

yahi meri KHwab-gah-e-ishrat yahi hai mera nigar-KHana
dhuen ki rangin badliyon mein paka rahi hai jahan wo khana
yahin andheron se mil ke hum chandni ke chhakke chhuDa rahe hain
yahin hamara sila muqarrar hua hai adbar-e-jawedana
yahin use gili lakDiyon ne KHushi ke aansu bahate dekha
yahin use rakh ki tahon ne bana diya ghair shairana
yahin meri saKHt-jaan ghairat ye barha sun chuki hai ab tak
abe teri muflisi ke charche sune the main ne to ghaebana
yahin wo jaan-e-wafa meri aarzu ki ranginiyon ki KHatir
chhiDak ke baalon mein itr-e-andesha karti rahti hai in mein shana
agar nahusat ki jaan hai wo to banda iman-e-muflisi hai
isi liye ek dusre se hamein mohabbat hai walihana
ilahi teri inayaton ka ye ek adna sa hai karishma
hamare iflas-e-be-karan ka jo aaj hai mo'tarif zamana
wo us ka jaDe ki sard raaton mein mujh se indhan ki baat karna
ki jaise ye chiz mawarai ho ya alif-lailwi fasana
tawil faqon ke baad donon ka pich pi kar wo jhum uThna
wo us ki sharmili si nigahen wo mere jazbaat-e-ashiqana
KHushi mein sari KHudai mein half-day manaya gaya tha us din
wajud mein aa gaya tha jis din hamari ulfat ka shaKHsana

(456) ووٹ وصول ہوئے

You can read Muflison Ka Qaumi Tarana written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Muflison Ka Qaumi Tarana is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Muflison Ka Qaumi Tarana is a widely read Urdu Nazam. If you like Muflison Ka Qaumi Tarana, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.