Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha, Urdu Ghazal By Rahbar Tabani Dariyabadi

Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahbar Tabani Dariyabadi. Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری شکست کا باعث یہ افتخار بھی تھا

رہبر تابانی دریاآبادی

مری شکست کا باعث یہ افتخار بھی تھا

جو تھا حریف وہی اپنا رازدار بھی تھا

یہ اور بات توجہ نہ تم نے دی ورنہ

تمہارے چاہنے والوں میں خاکسار بھی تھا

ملے تھے مجھ سے بظاہر بڑے تپاک سے لوگ

طبیعتوں میں بہ باطن مگر غبار بھی تھا

گئے تھے تم بھی تو اس بت کے خیر مقدم میں

مگر تمہارا کسی مد میں کچھ شمار بھی تھا

تمام عمر اسیروں کی طرح جیتے رہے

ہمارے گرد یقیناً کوئی حصار بھی تھا

سماعتوں کے تجسس سے یہ ہوا محسوس

ہماری طول کلامی میں اختصار بھی تھا

حیات کے سبھی شعبوں میں دسترس تھی اسے

بڑا ذہین تھا دانا تھا بردبار بھی تھا

اسی لئے اسے سونپا گیا تھا کار جہاں

کسی کو اس پہ بھروسا تھا اعتبار بھی تھی

ترے سکوت پہ دل کی عجب تھی کیفیت

وہ پر سکون بھی تھا اور بے قرار بھی تھا

بڑے فرشتہ صفت تھے تمہارے شہر کے لوگ

دلوں میں درد مزاجوں میں انکسار بھی تھا

خوش آ گئی ہے اے رہبر سپردگی ورنہ

کمین گاہیں بھی تھیں جادہ فرار بھی تھا

رہبر تابانی دریاآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha

Rahbar Tabani Dariyabadi

meri shikast ka bais ye iftiKHar bhi tha
jo tha harif wahi apna raazdar bhi tha

ye aur baat tawajjoh na tum ne di warna
tumhaare chahne walon mein KHaksar bhi tha

mile the mujh se ba-zahir baDe tapak se log
tabiaton mein ba-baatin magar ghubar bhi tha

gae the tum bhi to us but ke KHair-maqdam mein
magar tumhaara kisi mad mein kuchh shumar bhi tha

tamam umr asiron ki tarah jite rahe
hamare gird yaqinan koi hisar bhi tha

samaaton ke tajassus se ye hua mahsus
hamari tul-kalami mein iKHtisar bhi tha

hayat ke sabhi shobon mein dastaras thi use
baDa zahin tha dana tha burdbar bhi tha

isi liye use saunpa gaya tha kar-e-jahan
kisi ko us pe bharosa tha eatibar bhi thi

tere sukut pe dil ki ajab thi kaifiyyat
wo pur-sukun bhi tha aur be-qarar bhi tha

baDe farishta-sifat the tumhaare shahr ke log
dilon mein dard mizajon mein inkisar bhi tha

KHush aa gai hai ai rahbar supurdagi warna
kamin-gahen bhi thin jada-e-farar bhi tha

(395) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha written by Rahbar Tabani Dariyabadi at UrduPoint. Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha is one of the masterpieces written by Rahbar Tabani Dariyabadi. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Tabani Dariyabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Tabani Dariyabadi' above.

Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Shikast Ka Bais Ye IftiKhaar Bhi Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.