Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste, Urdu Ghazal By Rahbar Tabani Dariyabadi

Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahbar Tabani Dariyabadi. Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ بھی روش کیا خوب ہے سچی خوشی کے واسطے

رہبر تابانی دریاآبادی

یہ بھی روش کیا خوب ہے سچی خوشی کے واسطے

جینا کسی کے واسطے مرنا کسی کے واسطے

لازم ہیں دور اندیشیاں اک فلسفی کے واسطے

فکر و نظر درکار ہیں دانشوری کے واسطے

جب تک نہ ہو عرفان ذات ادراک عالم کچھ نہیں

یا رب بصیرت کر عطا خود آگہی کے واسطے

اہل خرد سے حل نہ ہوں گے زندگی کے مسئلے

اہل جنوں کو ڈھونڈ اس درد سری کے واسطے

ہوتے رہو گے تا بہ کے شرمندۂ احسان غیر

یارو یہاں کی چند روزہ زندگی کے واسطے

دونوں ہیں افسردہ دل آزردہ نظر آشفتہ حال

اک بے خودی کے واسطے اور اک خودی کے واسطے

کس درجہ پر اسرار ہوتا جا رہا ہے ان دنوں

اک مسئلہ ہے آدمی خود آدمی کے واسطے

مجھ کو کسی کی ذات سے کیا لینا دینا ہے مگر

کوشاں ہوں میں تو اتحاد باہمی کے واسطے

رہبرؔ نہ ہوگا شبنم افشانی سے بار آور یہ باغ

خون جگر کی ہے ضرورت شاعری کے واسطے

رہبر تابانی دریاآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste

Rahbar Tabani Dariyabadi

ye bhi rawish kya KHub hai sachchi KHushi ke waste
jina kisi ke waste marna kisi ke waste

lazim hain dur-andeshiyan ek falsafi ke waste
fikr-o-nazar darkar hain danishwari ke waste

jab tak na ho irfan-e-zat idrak-e-alam kuchh nahin
ya-rab basirat kar ata KHud-agahi ke waste

ahl-e-KHirad se hal na honge zindagi ke masale
ahl-e-junun ko DhunD is dard-e-sari ke waste

hote rahoge ta-ba-ke sharminda-e-ehsan-e-ghair
yaro yahan ki chand-roza zindagi ke waste

donon hain afsurda-dil aazurda-nazar aashufta-haal
ek be-KHudi ke waste aur ek KHudi ke waste

kis darja pur-asrar hota ja raha hai in dinon
ek masala hai aadmi KHud aadmi ke waste

mujh ko kisi ki zat se kya lena dena hai magar
koshan hun main to ittihad-e-bahami ke waste

'rahbar' na hoga shabnam-afshani se bar-awar ye bagh
KHun-e-jigar ki hai zarurat shaeri ke waste

(415) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste written by Rahbar Tabani Dariyabadi at UrduPoint. Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste is one of the masterpieces written by Rahbar Tabani Dariyabadi. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Tabani Dariyabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Tabani Dariyabadi' above.

Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Bhi Rawish Kya KHub Hai Sachchi KHushi Ke Waste, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.