Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye, Urdu Ghazal By Raj Kheti

Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raj Kheti. Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنے ہاتھوں میں محبت سے مرا ہات لیے

راج کھیتی

اپنے ہاتھوں میں محبت سے مرا ہات لیے

چاندنی آئی مگر ہجر کی سوغات لیے

دل کے جلتے ہوئے زخموں کے نگر میں اے دوست

کون پھر آیا ہے اشکوں کی یہ برسات لیے

دیکھ یہ منظر دل دوز کہ ہے قابل دید

صبح نو میرے لیے آئی سیہ رات لیے

بن گئی جو کبھی نغمہ کبھی جگنو کبھی پھول

دے کے سرمایۂ جاں ہم نے وہ جذبات لیے

میرے گھر میں تو چراغوں کا دھواں تک بھی نہیں

رات نکلی ہے حسیں چاند کی بارات لیے

دل جو ٹوٹا تو ہر اک ساز طرب ٹوٹ گیا

راجؔ ہم روتے رہے درد کے جذبات لیے

راج کھیتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye

Raj Kheti

apne hathon mein mohabbat se mera hat liye
chandni aai magar hijr ki saughat liye

dil ke jalte hue zaKHmon ke nagar mein ai dost
kaun phir aaya hai ashkon ki ye barsat liye

dekh ye manzar-e-dil-doz ki hai qabil-e-did
subh-e-nau mere liye aai siyah raat liye

ban gai jo kabhi naghma kabhi jugnu kabhi phul
de ke sarmaya-e-jaan hum ne wo jazbaat liye

mere ghar mein to charaghon ka dhuan tak bhi nahin
raat nikli hai hasin chand ki baraat liye

dil jo TuTa to har ek saz-e-tarab TuT gaya
'raj hum rote rahe dard ke jazbaat liye

(309) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye written by Raj Kheti at UrduPoint. Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye is one of the masterpieces written by Raj Kheti. You can also find the complete poetry collection of Raj Kheti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raj Kheti' above.

Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apne Hathon Mein Mohabbat Se Mera Hat Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.