Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki, Urdu Ghazal By Razi Haidar

Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Razi Haidar. Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ کریں جب بھی بات پھولوں کی

رضی حیدر

وہ کریں جب بھی بات پھولوں کی

مسکرائے حیات پھولوں کی

وصل کی شب بدن کے صحرا میں

آ رہی ہے برات پھولوں کی

عشق خوشبو ہے در بدر ٹھہرا

حسن ہے کائنات پھولوں کی

اک تبسم پہ منحصر ٹھہری

زندگی بے ثبات پھولوں کی

زلف میں پھول ہاتھ میں مہندی

صبح پھولوں کی رات پھولوں کی

ہنستے ہنستے خزاں نے پوچھا ہے

کس نے چھیڑی ہے بات پھولوں کی

پتا پتا ہے اشک بار رضیؔ

کیسی گزری ہے رات پھولوں کی

رضی حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki

Razi Haidar

wo karen jab bhi baat phulon ki
muskurae hayat phulon ki

wasl ki shab badan ke sahra mein
aa rahi hai baraat phulon ki

ishq KHushbu hai dar-ba-dar Thahra
husn hai kaenat phulon ki

ek tabassum pe munhasir Thahri
zindagi be-sabaat phulon ki

zulf mein phul hath mein mehndi
subh phulon ki raat phulon ki

hanste hanste KHizan ne puchha hai
kis ne chheDi hai baat phulon ki

patta patta hai ashk-bar 'razi'
kaisi guzri hai raat phulon ki

(257) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki written by Razi Haidar at UrduPoint. Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki is one of the masterpieces written by Razi Haidar. You can also find the complete poetry collection of Razi Haidar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Razi Haidar' above.

Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Karen Jab Bhi Baat Phulon Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.