TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe, Urdu Ghazal By Rifat Shameem

TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rifat Shameem. TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ٹوٹ کر عالم اجزا میں بکھرتے ہی رہے

رفعت شمیم

ٹوٹ کر عالم اجزا میں بکھرتے ہی رہے

نقش تعمیر جہاں بن کے بگڑتے ہی رہے

اپنے ہی وہم و تذبذب تھے خرابی کا سبب

گھر عقیدوں کے بسائے تو اجڑتے ہی رہے

جانے کیا بات ہوئی موسم گل میں اب کے

پنکھ پنچھی کے فضاؤں میں بکھرتے ہی رہے

چند یادوں کی پناہ گاہ میں جانے کیوں ہم

سایۂ شام کی مانند سمٹتے ہی رہے

ہم نے ہر رنگ سے چہرے کو سجایا لیکن

اپنی پہچان کے آثار بگڑتے ہی رہے

رفعت شمیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe

Rifat Shameem

TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe
naqsh-e-tamir jahan ban ke bigaDte hi rahe

apne hi wahm-o-tazabzub the KHarabi ka sabab
ghar aqidon ke basae to ujaDte hi rahe

jaane kya baat hui mausam-e-gul mein ab ke
pankh panchhi ke fazaon mein bikharte hi rahe

chand yaadon ki panah-gah mein jaane kyun hum
saya-e-sham ki manind simaTte hi rahe

hum ne har rang se chehre ko sajaya lekin
apni pahchan ke aasar bigaDte hi rahe

(527) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe written by Rifat Shameem at UrduPoint. TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe is one of the masterpieces written by Rifat Shameem. You can also find the complete poetry collection of Rifat Shameem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rifat Shameem' above.

TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like TuT Kar Aalam-e-ajza Mein Bikharte Hi Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.