Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah, Urdu Ghazal By Riyasat Ali Taj

Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyasat Ali Taj. Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر نے کام کیا دل کے ترجماں کی طرح

ریاست علی تاج

نظر نے کام کیا دل کے ترجماں کی طرح

نگاہیں کہہ گئی سب حال دل زباں کی طرح

کیے تھے بے خودیٔ شوق میں جہاں سجدے

وہی زمیں نظر آتی ہے آسماں کی طرح

نظر ملی ہے تو پہچان جائے اہل چمن

دکھائی دیتے ہیں گلچیں بھی باغباں کی طرح

کتاب زیست کا شیرازہ بند کوئی نہیں

بکھر گئی ہے کسی نظم بوستاں کی طرح

نہ برگ و بار نہ شادابیاں نہ غنچہ و گل

یہی بہار اگر ہے تو ہے خزاں کی طرح

تمہارے شہر میں مدت سے یہ تمنا ہے

دکھائی دے کوئی بے مہر مہرباں کی طرح

خدا گواہ کہ اک عمر کا اثاثہ ہے

نہ کیوں عزیز رکھوں علم و فن کو جاں کی طرح

کسے بتائیں کہ تھے ہم بھی ہم نشیں اے سیفؔ

وہ تاجؔ بھول گئے یاد رفتگاں کی طرح

ریاست علی تاج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah

Riyasat Ali Taj

nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah
nigahen kah gai sab haal-e-dil zaban ki tarah

kiye the be-KHudi-e-shauq mein jahan sajde
wahi zamin nazar aati hai aasman ki tarah

nazar mili hai to pahchan jae ahl-e-chaman
dikhai dete hain gulchin bhi baghban ki tarah

kitab-e-zist ka shiraaza-band koi nahin
bikhar gai hai kisi nazm-e-bostan ki tarah

na barg-o-bar na shadabiyan na ghuncha-o-gul
yahi bahaar agar hai to hai KHizan ki tarah

tumhaare shahr mein muddat se ye tamanna hai
dikhai de koi be-mehr mehrban ki tarah

KHuda-gawah ki ek umr ka asasa hai
na kyun aziz rakhun ilm-o-fan ko jaan ki tarah

kise bataen ki the hum bhi ham-nashin ai 'saif'
wo 'taj' bhul gae yaad-e-raftagan ki tarah

(442) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah written by Riyasat Ali Taj at UrduPoint. Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah is one of the masterpieces written by Riyasat Ali Taj. You can also find the complete poetry collection of Riyasat Ali Taj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyasat Ali Taj' above.

Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Ne Kaam Kiya Dil Ke Tarjuman Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.