Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں سمجھا جب جھلکتا سامنے جام شراب آیا

ریاضؔ خیرآبادی

میں سمجھا جب جھلکتا سامنے جام شراب آیا

مرا منہ چومنے شاید مرا مست شباب آیا

ترے نازک سے چہرے پر جہاں رنگ عتاب آیا

صباحت رخ کی بول اٹھی کہ رخ زیر نقاب آیا

قیامت اٹھتی رہتی ہے یہاں یہ ہے گلی اس کی

کہاں پامال ہونے تو دل خانہ خراب آیا

سر تربت بھی گھوڑے پر ہوا کے وہ سوار آئے

قیامت ہم عناں آئی نہ دشمن ہم رکاب آیا

ہوئے ہنگامہ ہائے حشر کتنے گوشۂ دل میں

وہ میرے سامنے کچھ اس ادا سے بے نقاب آیا

وہ آئے سیر دریا کے لئے تو بجھ گئیں موجیں

قدم سے ان کے اپنی آنکھ ملنے ہر حباب آیا

بہت بوسے لیے ہیں میں نے ان کافر حسینوں کے

مزا آئے گا مجھ کو بھی اگر روز حساب آیا

تکلف بر طرف اے شیخ صحبت سے یہ آپس کی

مرے آگے شراب آئی ترے آگے کباب آیا

اسی کوشش میں کٹتی ہجر کی راتیں ہوئیں آخر

نہ ان کے گیسوؤں کا میرے دل میں پیچ و تاب آیا

خیال یار کے صدقے خیال یار ہی ہوگا

تسلی مجھ کو دینے کوئی وقت اضطراب آیا

تری نوک قلم نے دل میں گہرے زخم ڈالے ہیں

ہزاروں دشنہ و نشتر لیے خط کا جواب آیا

وہ تصویر آج تک محفوظ ہے چشم تصور میں

ترے بچپن سے جب اٹکھیلیاں کرتا شباب آیا

نہیں موجیں ہیں یہ سیل حوادث کے طمانچے ہیں

اسے کھانا پڑی منہ کی ابھر کر جب حباب آیا

برابر میری تربت کے کیا ہے دفن دشمن کو

یہ اچھا میرے حصے میں جہنم کا عذاب آیا

کہیں دعوت میں کل ہم اور واعظ پاس بیٹھے تھے

کوئی لے کر شراب آیا کوئی لے کر کباب آیا

لحد پر میری بھیجا ہے عدو کو فاتحہ پڑھنے

جو پہنچانے ثواب آیا وہی بن کر عذاب آیا

جو آئے بھی تو گھوڑے پر ہوا کے وہ سوار آئے

عدو بھی ساتھ سائے کی طرح تھامے رکاب آیا

ہوا بنت عنب سے عقد اس پیرانہ سالی میں

مبارک ہو مجھے ساقی بڑھاپے میں شباب آیا

نرالے ہیں یہی دنیا میں توبہ توڑنے والے

ادھر ساقی ریاضؔ آئے ادھر جام شراب آیا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya

Riyaz Khairabadi

main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya
mera munh chumne shayad mera mast-e-shabab aaya

tere nazuk se chehre par jahan rang-e-itab aaya
sabahat ruKH ki bol uTThi ki ruKH zer-e-naqab aaya

qayamat uThti rahti hai yahan ye hai gali us ki
kahan pamal hone tu dil-e-KHana-KHarab aaya

sar-e-turbat bhi ghoDe par hawa ke wo sawar aae
qayamat ham-inan aai na dushman ham-rikab aaya

hue hangama-ha-e-hashr kitne gosha-e-dil mein
wo mere samne kuchh is ada se be-naqab aaya

wo aae sair-e-dariya ke liye to bujh gain maujen
qadam se un ke apni aankh malne har habab aaya

bahut bose liye hain main ne un kafir hasinon ke
maza aaega mujh ko bhi agar roz-e-hisab aaya

takalluf bartaraf ai shaiKH sohbat se ye aapas ki
mere aage sharab aai tere aage kabab aaya

isi koshish mein kaTti hijr ki raaten huin aaKHir
na un ke gesuon ka mere dil mein pech-o-tab aaya

KHayal-e-yar ke sadqe KHayal-e-yar hi hoga
tasalli mujh ko dene koi waqt-e-iztirab aaya

teri nok qalam ne dil mein gahre zaKHm Dale hain
hazaron dashna-o-nashtar liye KHat ka jawab aaya

wo taswir aaj tak mahfuz hai chashm-e-tasawwur mein
tere bachpan se jab aTkheliyan karta shabab aaya

nahin maujen hain ye sail-e-hawadis ke tamanche hain
use khana paDi munh ki ubhar kar jab habab aaya

barabar meri turbat ke kiya hai dafn dushman ko
ye achchha mere hisse mein jahannum ka azab aaya

kahin dawat mein kal hum aur waiz pas baiThe the
koi le kar sharab aaya koi le kar kabab aaya

lahad par meri bheja hai adu ko fatiha paDhne
jo pahunchane sawab aaya wahi ban kar azab aaya

jo aae bhi to ghoDe par hawa ke wo sawar aae
adu bhi sath sae ki tarah thame rikab aaya

hua bint-e-inab se aqd is pirana-sali mein
mubarak ho mujhe saqi buDhape mein shabab aaya

nirale hain yahi duniya mein tauba toDne wale
udhar saqi 'riyaz' aae idhar jam-e-sharab aaya

(454) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Samjha Jab Jhalakta Samne Jam-e-sharab Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.