Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ملا بھی یہ تو اسے پھر خدا نہیں ملتا

ریاضؔ خیرآبادی

ملا بھی یہ تو اسے پھر خدا نہیں ملتا

نہیں نہیں دل بے مدعا نہیں ملتا

وہ کہہ رہے ہیں کہ ان کو خدا نہیں ملتا

کوئی ہمارے سوا دوسرا نہیں ملتا

مٹے ہوؤں کا الٰہی پتا نہیں ملتا

رہ عدم میں کہیں نقش پا نہیں ملتا

حنا سے خون کسی غیر کا ملا ہوگا

ہمارے خون سے رنگ حنا نہیں ملتا

زمین پر کبھی ان کے قدم نہیں پڑتے

کہ سجدہ کرنے کو بھی نقش پا نہیں ملتا

نکل کے دیکھتے کیا ہے ہوا زمانے کی

در قفس کبھی ہم کو کھلا نہیں ملتا

لحد سے اٹھ کے کہاں جائیے قیامت ہے

وہ بھیڑ ہے کہ کہیں راستہ نہیں ملتا

اچھوتے جام ہیں منت کے کچھ الگ رکھے

کسے پلائیں کوئی پارسا نہیں ملتا

یہ آس لائی ہے ساقی کے آستانے پر

در کریم سے سائل کو کیا نہیں ملتا

بری طرح لب شیریں کسی نے چوسے ہیں

کہ گالیوں میں تری اب مزا نہیں ملتا

بجا کے دیکھے ہیں ناقوس ہم نے وقت اذاں

ریاضؔ آپ کا ان سے گلا نہیں ملتا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta

Riyaz Khairabadi

mila bhi ye to use phir KHuda nahin milta
nahin nahin dil-e-be-muddaa nahin milta

wo kah rahe hain ki un ko KHuda nahin milta
koi hamare siwa dusra nahin milta

miTe huon ka ilahi pata nahin milta
rah-e-adam mein kahin naqsh-e-pa nahin milta

hina se KHun kisi ghair ka mila hoga
hamare KHun se rang-e-hina nahin milta

zamin par kabhi un ke qadam nahin paDte
ki sajda karne ko bhi naqsh-e-pa nahin milta

nikal ke dekhte kya hai hawa zamane ki
dar-e-qafas kabhi hum ko khula nahin milta

lahad se uTh ke kahan jaiye qayamat hai
wo bhiD hai ki kahin rasta nahin milta

achhute jam hain mannat ke kuchh alag rakkhe
kise pilaen koi parsa nahin milta

ye aas lai hai saqi ke aastane par
dar-e-karim se sail ko kya nahin milta

buri tarah lab-e-shirin kisi ne chuse hain
ki galiyon mein teri ab maza nahin milta

baja ke dekhe hain naqus hum ne waqt-e-azan
'riyaz' aap ka un se gala nahin milta

(255) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mila Bhi Ye To Use Phir KHuda Nahin Milta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.