Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha, Urdu Ghazal By Rizwan Banarsi

Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rizwan Banarsi. Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ دشت میں نہ چمن میں نہ گھر میں رکھا تھا

رضوان بنارسی

نہ دشت میں نہ چمن میں نہ گھر میں رکھا تھا

مرا سکون تری رہ گزر میں رکھا تھا

وہ تیری یاد تھی کیا تھا جو ایک نشتر سا

تمام عمر جو میرے جگر میں رکھا تھا

گیا وہ دور جنوں دل پہ جس کا قبضہ تھا

نکل چکا ہے وہ سودا جو سر میں رکھا تھا

وفا کے نام پہ ہم نے فریب کھایا ہے

خذف چھپا کے کسی نے گہر میں رکھا تھا

بجھا دیا ہے زمانے کی آندھیوں نے اسے

جو اک چراغ تری رہ گزر میں رکھا تھا

بچا کے سب کی نظر سے نظر میں رکھا تھا

تمہیں کو دل میں تمہیں کو جگر میں رکھا تھا

نگاہ علم کھلی دل کی آنکھ بند ہوئی

اندھیرا بے خبری کا خبر میں رکھا تھا

بجھی وہ شمع محبت جو دل کی رونق تھی

نکل گیا وہ اثاثہ جو گھر میں رکھا تھا

زمانہ ہو گیا کس طرح باخبر اس سے

جو راز میں نے دل معتبر میں رکھا تھا

تمہارے آتے ہی لو آج وہ بھی ختم ہوا

جو فاصلہ مری شام و سحر میں رکھا تھا

مرے قلم نے یہ رضوانؔ چراغ شعر و سخن

جلا کے محفل علم و ہنر میں رکھا تھا

رضوان بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha

Rizwan Banarsi

na dasht mein na chaman mein na ghar mein rakkha tha
mera sukun teri rahguzar mein rakkha tha

wo teri yaad thi kya tha jo ek nashtar sa
tamam umr jo mere jigar mein rakkha tha

gaya wo daur-e-junun dil pe jis ka qabza tha
nikal chuka hai wo sauda jo sar mein rakkha tha

wafa ke nam pe hum ne fareb khaya hai
KHazaf chhupa ke kisi ne guhar mein rakkha tha

bujha diya hai zamane ki aandhiyon ne use
jo ek charagh teri rahguzar mein rakkha tha

bacha ke sab ki nazar se nazar mein rakkha tha
tumhin ko dil mein tumhin ko jigar mein rakkha tha

nigah-e-ilm khuli dil ki aankh band hui
andhera be-KHabari ka KHabar mein rakkha tha

bujhi wo sham-e-mohabbat jo dil ki raunaq thi
nikal gaya wo asasa jo ghar mein rakkha tha

zamana ho gaya kis tarah ba-KHabar us se
jo raaz main ne dil-e-mo'tabar mein rakkha tha

tumhaare aate hi lo aaj wo bhi KHatm hua
jo fasla meri sham-o-sahar mein rakkha tha

mere qalam ne ye 'rizwan' charagh-e-sher-o-suKHan
jala ke mahfil-e-ilm-o-hunar mein rakkha tha

(346) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha written by Rizwan Banarsi at UrduPoint. Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha is one of the masterpieces written by Rizwan Banarsi. You can also find the complete poetry collection of Rizwan Banarsi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rizwan Banarsi' above.

Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Dasht Mein Na Chaman Mein Na Ghar Mein Rakkha Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.