Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل جب سے درد عشق کے قابل نہیں رہا

صفی اورنگ آبادی

دل جب سے درد عشق کے قابل نہیں رہا

اک ناگوار چیز ہے اب دل نہیں رہا

وہ میں نہیں رہا وہ مرا دل نہیں رہا

اب ان کو منہ دکھانے کے قابل نہیں رہا

کیا التجائے دید کروں دیکھتا ہوں میں

آئینہ بھی ہمیشہ مقابل نہیں رہا

اب وہ خفا ہوئے ہیں تو یوں بھی ہے اک خوشی

مرنا ہمارے واسطے مشکل نہیں رہا

دنیا غرض کی رہ گئی اب اس سے کیا غرض

چلئے کہ لطف شرکت محفل نہیں رہا

سن سن کے اہل عشق و محبت کے واقعات

دنیا کا کوئی کام بھی مشکل نہیں رہا

دنیا کے نیک و بد پہ مری رائے کچھ نہیں

اب تک ادھر خیال ہی مائل نہیں رہا

مجھ سے نہ پوچھو حسرت آرائش جمال

آئینہ بن کے ان کے مقابل نہیں رہا

اک ناامید کے لئے اتنا نہ سوچئے

آزردہ دل رہا بھی تو بے دل نہیں رہا

وہ جان لے چکیں تو کوئی ان سے پوچھ لے

اب تو کچھ اس غریب پہ فاضل نہیں رہا

آیا نہ خواب میں بھی کبھی غیر کا خیال

غفلت میں بھی میں آپ سے غافل نہیں رہا

بے بندگی بھی اس کی رہی بندہ پروری

ملتا رہا اگرچہ میں سائل نہیں رہا

وہ ہاتھ ہیں صفیؔ مجھے اک آستیں کا سانپ

گردن میں دوست کے جو حمائل نہیں رہا

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha

Safi Aurangabadi

dil jab se dard-e-ishq ke qabil nahin raha
ek nagawar chiz hai ab dil nahin raha

wo main nahin raha wo mera dil nahin raha
ab un ko munh dikhane ke qabil nahin raha

kya iltija-e-did karun dekhta hun main
aaina bhi hamesha muqabil nahin raha

ab wo KHafa hue hain to yun bhi hai ek KHushi
marna hamare waste mushkil nahin raha

duniya gharaz ki rah gai ab is se kiya gharaz
chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahin raha

sun sun ke ahl-e-ishq-o-mohabbat ke waqiat
duniya ka koi kaam bhi mushkil nahin raha

duniya ke nek-o-bad pe meri rae kuchh nahin
ab tak idhar KHayal hi mail nahin raha

mujh se na puchho hasrat-e-araish-e-jamal
aaina ban ke un ke muqabil nahin raha

ek na-umid ke liye itna na sochiye
aazurda dil raha bhi to be-dil nahin raha

wo jaan le chuken to koi un se puchh le
ab to kuchh us gharib pe fazil nahin raha

aaya na KHwab mein bhi kabhi ghair ka KHayal
ghaflat mein bhi main aap se ghafil nahin raha

be-bandagi bhi us ki rahi banda-parwari
milta raha agarche main sail nahin raha

wo hath hain safi' mujhe ek aastin ka sanp
gardan mein dost ke jo hamail nahin raha

(450) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Jab Se Dard-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.