Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دوست خوش ہوتے ہیں جب دوست کا غم دیکھتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

دوست خوش ہوتے ہیں جب دوست کا غم دیکھتے ہیں

کیسی دنیا ہے الٰہی جسے ہم دیکھتے ہیں

دیکھتے ہیں جسے بادیدۂ نم دیکھتے ہیں

آپ کے دیکھنے والوں کو بھی ہم دیکھتے ہیں

بے محل اب تو ستم گر کے ستم دیکھتے ہیں

کیسے کیسوں کو برے حال میں ہم دیکھتے ہیں

ہنس کے تڑپا دے مگر غصے سے صورت نہ بگاڑ

یہ بھی معلوم ہے ظالم تجھے ہم دیکھتے ہیں

لوگ کیوں کہتے ہیں تو اس کو نہ دیکھ اس کو نہ دیکھ

ہم کو اللہ دکھاتا ہے تو ہم دیکھتے ہیں

باغ کی سیر نہ بازار کی تفریح رہی

ہم تو برسوں میں کسی دن پہ قدم دیکھتے ہیں

لعل ہیرے سہی تیرے لب دنداں ادھر آ

توڑ لیتے تو نہیں ہیں انہیں ہم دیکھتے ہیں

شل ہوئے دست طلب بھول گئے حرف سوال

آج ہم حوصلۂ اہل کرم دیکھتے ہیں

میں تماشا سہی لیکن یہ تماشا کیسا

مفت میں لوگ ترے ظلم و ستم دیکھتے ہیں

آپ کی کم نگہی حسن بھی ہے عیب بھی ہے

لوگ ایسا بھی سمجھتے ہیں کہ کم دیکھتے ہیں

ہم کو ٹھکراتے چلیں آپ کی محفل میں عدو

کیا انہیں کم نظر آتا ہے یا کم دیکھتے ہیں

چار لوگوں کے دکھانے کو تو اخلاق سے مل

اور کچھ بھی نہیں دنیا میں بھرم دیکھتے ہیں

میرا ہونا بھی نہ ہونے کے برابر ہے وہاں

دیکھیں جو لوگ وجود اور عدم دیکھتے ہیں

آنکھ میں شرم کا پانی مگر اتنا بھی نہ ہو

دیکھ ان کو جو تری آنکھ کو نم دیکھتے ہیں

ہو تو جائے گا ترے دیکھنے والوں میں شمار

اول اول ہی مگر اپنے کو ہم دیکھتے ہیں

راستہ چلنے کی اک چھیڑ تھی تو آقا نہ آ

ہم تو یہ قول یہ وعدہ یہ قسم دیکھتے ہیں

دیکھنا جرم ہوا ظلم ہوا قہر ہوا

یہ نہ دیکھا تجھے کس آنکھ سے ہم دیکھتے ہیں

آنکھ ان کی ہے دل ان کا ہے کلیجہ ان کا

رات دن جو مجھے بادیدۂ نم دیکھتے ہیں

اپنا رونا بھی صفیؔ راس نہ آیا ہم کو

اس کو شکوہ ہے کہ آنکھیں تری نم دیکھتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain

Safi Aurangabadi

dost KHush hote hain jab dost ka gham dekhte hain
kaisi duniya hai ilahi jise hum dekhte hain

dekhte hain jise ba-dida-e-nam dekhte hain
aap ke dekhne walon ko bhi hum dekhte hain

be-mahal ab to sitamgar ke sitam dekhte hain
kaise-kaison ko bure haal mein hum dekhte hain

hans ke taDpa de magar ghusse se surat na bigaD
ye bhi malum hai zalim tujhe hum dekhte hain

log kyun kahte hain tu us ko na dekh us ko na dekh
hum ko allah dikhata hai to hum dekhte hain

bagh ki sair na bazar ki tafrih rahi
hum to barson mein kisi din pe qadam dekhte hain

lal hire sahi tere lab-e-dandan idhar aa
toD lete to nahin hain unhen hum dekhte hain

shal hue dast-e-talab bhul gae harf-e-sawal
aaj hum hausla-e-ahl-e-karam dekhte hain

main tamasha sahi lekin ye tamasha kaisa
muft mein log tere zulm-o-sitam dekhte hain

aap ki kam-nigahi husn bhi hai aib bhi hai
log aisa bhi samajhte hain ki kam dekhte hain

hum ko Thukraate chalen aap ki mahfil mein adu
kya unhen kam nazar aata hai ya kam dekhte hain

chaar logon ke dikhane ko to aKHlaq se mil
aur kuchh bhi nahin duniya mein bharam dekhte hain

mera hona bhi na hone ke barabar hai wahan
dekhen jo log wajud aur adam dekhte hain

aankh mein sharm ka pani magar itna bhi na ho
dekh un ko jo teri aankh ko nam dekhte hain

ho to jaega tere dekhne walon mein shumar
awwal awwal hi magar apne ko hum dekhte hain

rasta chalne ki ek chheD thi tu aaqa na aa
hum to ye qaul ye wada ye qasam dekhte hain

dekhna jurm hua zulm hua qahr hua
ye na dekha tujhe kis aankh se hum dekhte hain

aankh un ki hai dil un ka hai kaleja un ka
raat-din jo mujhe ba-dida-e-nam dekhte hain

apna rona bhi safi' ras na aaya hum ko
us ko shikwa hai ki aankhen teri nam dekhte hain

(494) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dost KHush Hote Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.