Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سیر چمن ہے اور وہ گل رو کنار میں

صفی اورنگ آبادی

سیر چمن ہے اور وہ گل رو کنار میں

میں بے پیے بھی مست ہوں اب کی بہار میں

کب سے ہوں کیا بتاؤں تلاش بہار میں

اک پھول بھی نہ تھا چمن روزگار میں

چالیں نئی نئی سی ہیں رفتار یار میں

پڑ جائے گا خلل روش-روزگار میں

دل اور جان دونوں بھی ہیں کس شمار میں

آپ اختیار میں ہیں تو سب اختیار میں

کیوں ناامید آپ کا امیدوار ہو

سب کچھ ہے کیا نہیں نگۂ شرمسار میں

مجھ کو جب اپنی بات کا رہتا نہیں خیال

کیوں بد ظنی نہ آئے دل رازدار میں

اس سے زیادہ لطف کا طالب نہیں ہوں میں

امید بن کے رہ دل امیدوار میں

یا موت آئے گی مجھے یا نیند آئے گی

اور ایک شب گزار تو دوں انتظار میں

اے درد عشق بات تو جب ہے کہ میرے دوست

مرنے کے بعد چین نہ پاؤں مزار میں

نالہ خلاف وعدہ کیا ہائے کیا کیا

سن لے جو وہ تو فرق پڑا اعتبار میں

وہ کیوں بلائیں بزم میں مجھ بد نصیب کو

گھل مل کے بیٹھنا نہیں آتا ہے چار میں

میں نے بھی توبہ توڑ دی اپنی تو کیا ہوا

دنیا کے لوگ کیا نہیں کرتے بہار میں

میرا وقار آپ کا آرام بھی گیا

آخر یہ کیا بلا ہے دل بے قرار میں

اک تازہ واردات ہے ہر ایک دم کے ساتھ

میرے ارادے آ نہیں سکتے شمار میں

سو مہربانیوں کے عوض مسکرا دیا

سرکار نے کمال کیا اختصار میں

ہوگا جب ان کا قہر قیامت ہی آئے گی

زندے رہیں گے گھر میں نہ مردے مزار میں

کہتے ہیں لوگ موت سے بد تر ہے انتظار

میری تمام عمر کٹی انتظار میں

نکلے گا اب کے جو بھی ترا اے مغاں نواز

پھولوں میں رکھ کے دیں گے تجھے ہم بہار میں

ناصح بھی چارہ گر بھی یہ دو دو عذاب کیوں

منکر نکیر آتے ہیں وہ بھی مزار میں

کھائی ہوئی قسم تو خدا کے لئے نہ کھا

اپنی طرف سے فرق نہ ڈال اعتبار میں

زاہد کی طرح اور ہیں مسجد میں سیکڑوں

یہ کس شمار میں ہے وہاں کس قطار میں

عشق اور آپ واہ صفیؔ واہ واہ وا

غم اور ہائے زندگئ مستعار میں

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein

Safi Aurangabadi

sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein
main be-piye bhi mast hun ab ki bahaar mein

kab se hun kya bataun talash-e-bahaar mein
ek phul bhi na tha chaman-e-rozgar mein

chaalen nai nai si hain raftar-e-yar mein
paD jaega KHalal rawish-e-rozgar mein

dil aur jaan donon bhi hain kis shumar mein
aap iKHtiyar mein hain to sab iKHtiyar mein

kyun na-umid aap ka ummid-war ho
sab kuchh hai kya nahin nigah-e-sharmsar mein

mujh ko jab apni baat ka rahta nahin KHayal
kyun bad-zani na aae dil-e-raazdar mein

is se ziyaada lutf ka talib nahin hun main
ummid ban ke rah dil-e-ummid-war mein

ya maut aaegi mujhe ya nind aaegi
aur ek shab guzar to dun intizar mein

ai dard-e-ishq baat to jab hai ki mere dost
marne ke baad chain na paun mazar mein

nala KHilaf-e-wada kiya hae kya kiya
sun le jo wo to farq paDa e'tibar mein

wo kyun bulaen bazm mein mujh bad-nasib ko
ghul-mil ke baiThna nahin aata hai chaar mein

main ne bhi tauba toD di apni to kya hua
duniya ke log kya nahin karte bahaar mein

mera waqar aap ka aaram bhi gaya
aaKHir ye kya bala hai dil-e-be-qarar mein

ek taza wardat hai har ek dam ke sath
mere irade aa nahin sakte shumar mein

sau mehrbaniyon ke ewaz muskura diya
sarkar ne kamal kiya iKHtisar mein

hoga jab un ka qahr qayamat hi aaegi
zinde rahenge ghar mein na murde mazar mein

kahte hain log maut se bad-tar hai intizar
meri tamam-umr kaTi intizar mein

niklega ab ke jo bhi tera ai mughan-nawaz
phulon mein rakh ke denge tujhe hum bahaar mein

naseh bhi chaaragar bhi ye do do azab kyun
munkir-nakir aate hain wo bhi mazar mein

khai hui qasam to KHuda ke liye na kha
apni taraf se farq na Dal e'tibar mein

zahid ki tarah aur hain masjid mein saikDon
ye kis shumar mein hai wahan kis qatar mein

ishq aur aap wah safi' wah-wah-wa
gham aur hae zindagi-e-mustaar mein

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sair-e-chaman Hai Aur Wo Gul-ru Kanar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.