Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسے کیا رات دن جو طالب دیدار پھرتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

اسے کیا رات دن جو طالب دیدار پھرتے ہیں

غرض ہے تو غرض کے واسطے سو بار پھرتے ہیں

ادھر دیکھو بھلا ہم کو زمانہ کیا نہیں کہتا

تو کیا ہر ایک سے کرتے ہوئے تکرار پھرتے ہیں

جو اب وحشت نہیں بھی ہے تو اپنی چال کیوں چھوڑیں

جدھر جی چاہے دن بھر رات بھر بے کار پھرتے ہیں

تری خاطر محبت ہو گئی ہے دل کی وحشت سے

ہمیں آوارہ پن پر آ گیا ہے پیار پھرتے ہیں

تڑپنے لوٹنے کی آج ان تک بھی خبر پہنچی

مجھے بدنام کرنے کو مرے غم خوار پھرتے ہیں

اسے ہم مانتے ہیں تو زمانے بھر سے اچھا ہے

مگر اچھے بھی اپنے قول سے اے یار پھرتے ہیں

سمجھتے ہیں سمجھنے والے اس کو بھی ریا کاری

گلی کوچوں میں کیوں تیرے ستم بردار پھرتے ہیں

تمہیں افسوس کیوں ہے عاشقوں کی کوچہ گردی پر

پھراتا ہے مقدر یہ خدائی خار پھرتے ہیں

کہیں ایسا نہ ہو اک روز تم بھی ہم سے پھر جاؤ

یہاں پہلے ہی اپنی جان سے بیزار پھرتے ہیں

وہ دل کی آرزو اب ہے نہ اس کی جستجو اب ہے

ہمارے پاؤں میں چکر ہے ہم بے کار پھرتے ہیں

کسی کافر کا گھر تھا یا نہیں معلوم جنت تھی

ابھی تک میری آنکھوں میں در و دیوار پھرتے ہیں

زمانے سے نرالا ہے چلن ان حسن والوں کا

لقب تو قاتل عالم ہے بے تلوار پھرتے ہیں

صفیؔ کو تم نے تو کوئی بڑا پہنچا ہوا سمجھا

اجی رہنے بھی دو ایسے بہت مکار پھرتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain

Safi Aurangabadi

use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain
gharaz hai to gharaz ke waste sau bar phirte hain

idhar dekho bhala hum ko zamana kya nahin kahta
to kya har ek se karte hue takrar phirte hain

jo ab wahshat nahin bhi hai to apni chaal kyun chhoDen
jidhar ji chahe din-bhar raat-bhar be-kar phirte hain

teri KHatir mohabbat ho gai hai dil ki wahshat se
hamein aawara-pan par aa gaya hai pyar phirte hain

taDapne luTne ki aaj un tak bhi KHabar pahunchi
mujhe badnam karne ko mere gham-KHwar phirte hain

use hum mante hain to zamane-bhar se achchha hai
magar achchhe bhi apne qaul se ai yar phirte hain

samajhte hain samajhne wale us ko bhi riya-kari
gali-kuchon mein kyun tere sitam-bardar phirte hain

tumhein afsos kyun hai aashiqon ki kucha-gardi par
phiraata hai muqaddar ye KHudai KHar phirte hain

kahin aisa na ho ek roz tum bhi hum se phir jao
yahan pahle hi apni jaan se bezar phirte hain

wo dil ki aarzu ab hai na us ki justuju ab hai
hamare panw mein chakkar hai hum be-kar phirte hain

kisi kafir ka ghar tha ya nahin malum jannat thi
abhi tak meri aankhon mein dar-o-diwar phirte hain

zamane se nirala hai chalan in husn walon ka
laqab to qatil-e-alam hai be-talwar phirte hain

safi' ko tum ne to koi baDa pahuncha hua samjha
aji rahne bhi do aise bahut makkar phirte hain

(569) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Use Kya Raat Din Jo Talib-e-didar Phirte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.