RoTi KapDa Aur Makan, Urdu Nazam By Saghar Khayyami

RoTi KapDa Aur Makan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Saghar Khayyami. RoTi KapDa Aur Makan comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read RoTi KapDa Aur Makan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روٹی کپڑا اور مکان

ساغر خیامی

دل جل رہے ہیں دوستو غم کے الاؤ میں

بچے بھی مبتلا ہیں دماغی تناؤ میں

پانی کی طرح بہتی ہے دولت چناؤ میں

یکجہتی کا تو نام نہیں رکھ رکھاؤ میں

اک آدمی کے واسطے پتلون، شرٹ، کوٹ

اک آدمی کے واسطے ممکن نہیں لنگوٹ

اک گھر میں اتنی روٹیاں کھائے نہیں بنیں

اک گھر کا ہے یہ حال کہ ستو نہیں سنیں

اک گھر میں اتنی روشنی آنکھیں نہیں کھلیں

اک گھر میں گھاسلیٹ کے دیپک نہیں جلیں

کتے کسی کے سیر کو موٹر پہ جائے ہیں

قسمت کے در پہ بیٹھ کے کچھ دم ہلائے ہیں

یہ کون سوچتا ہے برابر ہے آدمی

دولت ہے جس کے پاس وہ بہتر ہے آدمی

وہ آدمی نہیں جو پھٹیچر ہے آدمی

راہیں طویل اور کھلے سر ہے آدمی

اسیا رہا ہے وہ جو غریبی کی اوس میں

پکوان پک رہے ہیں اسی کے پڑوس میں

صحن چمن میں کچھ پس دیوار ہیں کھڑے

یعنی عوام جان سے بیزار ہیں کھڑے

دفتر میں روزگار کے بیکار ہیں کھڑے

لائن میں اسپتال کی بیمار ہیں کھڑے

روٹی اگر نہ پائی تو پتھر اٹھائیں گے

بھوکے کبھی نہ بھوک میں ملہار گائیں گے

عالم یہ دفتروں کا ہے یاران تیز گام

پھیلا ہر ایک گام ہے رشوت کا ایک دام

افسر بھی بے نکیل ہیں اسٹاف بے لگام

جنتا کا ہے یہ حال کہ کرتی ہے رام رام

موسم کو دیکھ بھال کے فائل بڑھائے ہیں

دفتر میں لڑکیاں بھی تو سویٹر بنائے ہیں

روشن کرو چراغ وہ دور سیاہ میں

کھائے نہ کوئی ٹھوکریں کوئی روٹی کی چاہ میں

غربت اڑی ہوئی ہے ترقی کی راہ میں

یکساں سبھی ہوں لوگ تمہاری نگاہ میں

ترتیب دو چمن بڑھی شاخوں کو چھانٹ دو

دولت کو آدمی پہ برابر سے بانٹ دو

ساغر خیامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

RoTi KapDa Aur Makan

Saghar Khayyami

dil jal rahe hain dosto gham ke alaw mein
bachche bhi mubtala hain dimaghi tanaw mein
pani ki tarah bahti hai daulat chunaw mein
yak-jehti ka to nam nahin rakh-rakhaw mein
ek aadmi ke waste patlun, shirt, coat
ek aadmi ke waste mumkin nahin langoT

ek ghar mein itni roTiyan khae nahin banen
ek ghar ka hai ye haal ki sattu nahin sanen
ek ghar mein itni raushni aankhen nahin khulen
ek ghar mein ghasleT ke dipak nahin jalen
kutte kisi ke sair ko motor pe jae hain
qismat ke dar pe baiTh ke kuchh dum hilae hain

ye kaun sochta hai barabar hai aadmi
daulat hai jis ke pas wo behtar hai aadmi
wo aadmi nahin jo phaTichar hai aadmi
rahen tawil aur khule sar hai aadmi
usiya raha hai wo jo gharibi ki os mein
pakwan pak rahe hain usi ke paDos mein

sehn-e-chaman mein kuchh pas-e-diwar hain khaDe
yani awam jaan se bezar hain khaDe
daftar mein rozgar ke be-kar hain khaDe
line mein aspatal ki bimar hain khaDe
roTi agar na pai to patthar uThaenge
bhuke kabhi na bhuk mein malhaar gaenge

aalam ye daftaron ka hai yaran-e-tez-gam
phaila har ek gam hai rishwat ka ek dam
afsar bhi be-nakel hain staff be-lagam
janta ka hai ye haal ki karti hai ram ram
mausam ko dekh-bhaal ke file baDhae hain
daftar mein laDkiyan bhi to switer banae hain

raushan karo charagh wo daur-e-siyah mein
khae na koi Thokaren koi roTi ki chah mein
ghurbat aDi hui hai taraqqi ki rah mein
yaksan sabhi hon log tumhaari nigah mein
tartib do chaman baDhi shaKHon ko chhanT do
daulat ko aadmi pe barabar se banT do

(824) ووٹ وصول ہوئے

You can read RoTi KapDa Aur Makan written by Saghar Khayyami at UrduPoint. RoTi KapDa Aur Makan is one of the masterpieces written by Saghar Khayyami. You can also find the complete poetry collection of Saghar Khayyami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saghar Khayyami' above.

RoTi KapDa Aur Makan is a widely read Urdu Nazam. If you like RoTi KapDa Aur Makan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.