Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi, Urdu Ghazal By Sahba Akhtar

Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahba Akhtar. Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں اہل دہر کی نظروں میں بے عقیدہ سہی

صہبا اختر

میں اہل دہر کی نظروں میں بے عقیدہ سہی

الٹ نقاب کہ نادیدہ آج دیدہ سہی

ہوائے کوچۂ محبوب کا ہوں دامن گیر

ہزار دامن محبوب نا رسیدہ سہی

تصورات ترے حسن سے ہیں وابستہ

تعلقات تری ذات سے کشیدہ سہی

مری بلند خیالی میں کیا کمی آئی

میں عرش زاد نہیں خاک آفریدہ سہی

مجھے نہیں نہ سہی ہو عدو کو چین نصیب

بشر کا دکھ ہے مجھے میں بشر گزیدہ سہی

جسے ملا ہے اسے مست کر گیا صہباؔ

مرے خیال کا بادہ سخن کشیدہ سہی

صہبا اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi

Sahba Akhtar

main ahl-e-dahr ki nazron mein be-aqida sahi
ulaT naqab ki nadida aaj dida sahi

hawa-e-kucha-e-mahbub ka hun daman-gir
hazar daman-e-mahbub na-rasida sahi

tasawwuraat tere husn se hain wabasta
talluqat teri zat se kashida sahi

meri buland KHayali mein kya kami aai
main arsh-zad nahin KHak-e-afrida sahi

mujhe nahin na sahi ho adu ko chain nasib
bashar ka dukh hai mujhe main bashar gazida sahi

jise mila hai use mast kar gaya 'sahba'
mere KHayal ka baada-suKHan kashida sahi

(501) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi written by Sahba Akhtar at UrduPoint. Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi is one of the masterpieces written by Sahba Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sahba Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahba Akhtar' above.

Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Ahl-e-dahr Ki Nazron Mein Be-aqida Sahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.