Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai, Urdu Ghazal By Saqib Humraaz

Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Humraaz. Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بن کے کیسی مثال آیا ہے

ثاقب ہمراز

بن کے کیسی مثال آیا ہے

چشم تر میں گلال آیا ہے

زندگی زور سے پکڑ ہم کو

خودکشی کا خیال آیا ہے

دل سرائے میں گہما گہمی ہے

کوئی لشکر نڈھال آیا ہے

سانس لینا بھی کیسی عادت ہے

دھڑکنوں کا سوال آیا ہے

ہم بھی ہوتے تھے کیا بلندی پر

کیا ہمیں بھی زوال آیا ہے

دل سکونت سے خاک ہو جاتا

کون پاگل اچھال آیا ہے

پھر وہ ٹہنی لگا کہ ٹوٹ گئی

پھر وہ جھونکا سنبھال آیا ہے

اس کی خوشبو چھپا کے رکھی تھی

کوئی جا کر نکال آیا ہے

بعض وقتوں میں اپنے اوپر بھی

بے تحاشہ ملال آیا ہے

خود کو جنگل کیا گیا پہلے

پھر وہ چنچل غزال آیا ہے

ثاقب ہمراز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai

Saqib Humraaz

ban ke kaisi misal aaya hai
chashm-e-tar mein gulal aaya hai

zindagi zor se pakaD hum ko
KHud-kushi ka KHayal aaya hai

dil-sarae mein gahma-gahmi hai
koi lashkar niDhaal aaya hai

sans lena bhi kaisi aadat hai
dhaDkanon ka sawal aaya hai

hum bhi hote the kya bulandi par
kya hamein bhi zawal aaya hai

dil sukunat se KHak ho jata
kaun pagal uchhaal aaya hai

phir wo Tahni laga ki TuT gai
phir wo jhonka sanbhaal aaya hai

us ki KHushbu chhupa ke rakkhi thi
koi ja kar nikal aaya hai

baz waqton mein apne upar bhi
be-tahasha malal aaya hai

KHud ko jangal kiya gaya pahle
phir wo chanchal ghazal aaya hai

(199) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai written by Saqib Humraaz at UrduPoint. Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai is one of the masterpieces written by Saqib Humraaz. You can also find the complete poetry collection of Saqib Humraaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Humraaz' above.

Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ban Ke Kaisi Misal Aaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.