Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh, Urdu Ghazal By Sardar Genda Singh Mashriqi

Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Genda Singh Mashriqi. Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھا کسی کا ہم نے نہ ایسا سنا دماغ

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

دیکھا کسی کا ہم نے نہ ایسا سنا دماغ

ان سنگ دل بتوں کا ہے اللہ کیا دماغ

کرتا نہیں تمیز شریف و رذیل میں

اس چرخ پیر کا ہے مگر پھر گیا دماغ

دیکھے بہت ہیں ہم نے حسینان پر غرور

لیکن عجب طرح کا ہے کچھ آپ کا دماغ

کل جتنا ہم نے اس کو منا کے بنایا تھا

اتنا ہی آج اور ہے بگڑا ہوا دماغ

جب ہوں گے پیش داور محشر کے سامنے

ہم دیکھ لیں گے آپ کا روز جزا دماغ

آیا نہیں سمجھ میں یہ الٹا معاملہ

بن بن کے کیوں بگڑتا ہے یہ آپ کا دماغ

گل کی بہار گلستاں میں چند روز ہے

اچھا نہیں ہے اس قدر اے مہ لقا دماغ

اے مشرقیؔ کبھی تھا دماغ اپنا عرش پر

ہے آج کل تو خاک میں اپنا ملا دماغ

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh

Sardar Genda Singh Mashriqi

dekha kisi ka hum ne na aisa suna dimagh
in sang-dil buton ka hai allah kya dimagh

karta nahin tamiz sharif-o-razil mein
is charKH-e-pir ka hai magar phir gaya dimagh

dekhe bahut hain hum ne hasinan-e-pur-ghurur
lekin ajab tarah ka hai kuchh aap ka dimagh

kal jitna hum ne us ko mana ke banaya tha
utna hi aaj aur hai bigDa hua dimagh

jab honge pesh dawar-e-mahshar ke samne
hum dekh lenge aap ka roz-e-jaza dimagh

aaya nahin samajh mein ye ulTa moamla
ban ban ke kyun bigaDta hai ye aap ka dimagh

gul ki bahaar gulistan mein chand roz hai
achchha nahin hai is qadar ai mah-laqa dimagh

ai 'mashriqi' kabhi tha dimagh apna arsh par
hai aaj-kal to KHak mein apna mila dimagh

(288) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh written by Sardar Genda Singh Mashriqi at UrduPoint. Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh is one of the masterpieces written by Sardar Genda Singh Mashriqi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Genda Singh Mashriqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Genda Singh Mashriqi' above.

Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekha Kisi Ka Humne Na Aisa Suna Dimagh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.