Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab, Urdu Ghazal By Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس طرح دیں گے وصل میں تکرار کا جواب

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

اس طرح دیں گے وصل میں تکرار کا جواب

مرنا ہمارا ہے ترے انکار کا جواب

ایسا لگایا ہاتھ کہ تسمہ نہیں رہا

دنیا میں اب نہیں تری تلوار کا جواب

بلبل ذرا ادھر بھی وہی نغمہ سنجیاں

سینہ ہمارا ہے ترے گلزار کا جواب

عشاق جان بیچنے آتے ہیں روز و شب

کوچہ ہے تیرا مصر کے بازار کا جواب

بے خود ہوا نہ راز کھلا اس کا ساقیا

مے خواروں میں نہیں ترے مے خوار کا جواب

تلووں میں چبھ کے خون سے گلنار ہو گیا

گلشن میں گل بھی ہے کوئی اس خار کا جواب

قاتل کے ہاتھ اٹھاتے ہی بجلی چمک گئی

تلوار سے ملا اسے تلوار کا جواب

سرمہ لگا رہا تھا کہ میری نظر پڑی

آئینہ میں ملا نگہ یار کا جواب

میری تو زندگی میں نہ وعدہ وفا ہوا

اک حشر رہ گیا ترے اقرار کا جواب

ناصح نے کی نصیحتیں پھر چپ ہی ہو گیا

کل شب کو سن کے تیرے وفادار کا جواب

یہ شاعری کا خبط ہے خاموش اے شفیقؔ

بے کار کا سوال ہے بے کار کا جواب

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

is tarah denge wasl mein takrar ka jawab
marna hamara hai tere inkar ka jawab

aisa lagaya hath ki tasma nahin raha
duniya mein ab nahin teri talwar ka jawab

bulbul zara idhar bhi wahi naghma-sanjiyan
sina hamara hai tere gulzar ka jawab

ushshaq jaan bechne aate hain roz-o-shab
kucha hai tera misr ke bazar ka jawab

be-KHud hua na raaz khula is ka saqiya
mai-KHwaron mein nahin tere mai-KHwar ka jawab

talwon mein chubh ke KHun se gulnar ho gaya
gulshan mein gul bhi hai koi is KHar ka jawab

qatil ke hath uThate hi bijli chamak gai
talwar se mila use talwar ka jawab

surma laga raha tha ki meri nazar paDi
aaine mein mila nigah-e-yar ka jawab

meri to zindagi mein na wada wafa hua
ek hashr rah gaya tere iqrar ka jawab

naseh ne ki nasihaten phir chup hi ho gaya
kal shab ko sun ke tere wafadar ka jawab

ye shairi ka KHabt hai KHamosh ai 'shafiq'
bekar ka sawal hai bekar ka jawab

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Poetry

اتفاقاً ہوئی ساقی تری گفتار غلط

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Ittifaqan Hui Saqi Teri Guftar Ghalat

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

خضر سے کہہ دو کہ آ کر دیکھ لیں آب حیات

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Khizr Se Kah Do Ki Aa Kar Dekh Len Aab-e-hayat

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

موت دیوانہ کو آئی ہے بیاباں کے پاس

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Maut Diwane Ko Aai Hai Bayaban Ke Pas

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

کسی کی آنکھ میں رہتا کسی کے دل میں رہ جاتا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

صبر کہتا ہے کہ رونا کیسا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

سینے پہ ہاتھ رکھے تھا اور رنگ زرد تھا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Sine Pe Hath Rakkhe Tha Aur Rang Zard Tha

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

اس کے کوچہ سے تو میں بے سر و ساماں نکلا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Uske Kuche Se To Main Be-sar-o-saman Nikla

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

دل پکارا ترا احساں ستم آرا ہوتا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Dil Pukara Tera Ehsan Sitam-ara Hota

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi at UrduPoint. Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab is one of the masterpieces written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi' above.

Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.