Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa, Urdu Ghazal By Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبر کہتا ہے کہ رونا کیسا

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

صبر کہتا ہے کہ رونا کیسا

ہجر میں جان کا کھونا کیسا

غیر نے جھوٹ کہا تھا مجھ سے

یار کا گھر میں نہ ہونا کیسا

درد سے تیر جگر کا کھینچو

خون میں ہاتھ ڈبونا کیسا

ہجر کی رات بری ہوتی ہے

آہ رکتی نہیں سونا کیسا

عشق میں کوئی بشر لائق ہو

اس میں برباد نہ ہونا کیسا

بعد مرنے کے جو تڑپا مرا دل

شق ہوا قبر کا کونا کیسا

نام تیرا ہے مرے باعث سے

بحر غم مجھ کو ڈبونا کیسا

جل بھی جائے تو نہ اف منہ سے کرے

اے شمع راتوں کو رونا کیسا

جو کہ ہو خاک نشیں مدت سے

اس کو شفاف بچھونا کیسا

کہتا ہے ضبط کہ تم صابر ہو

درد ہو دل میں تو رونا کیسا

دل عاشق سے نمو ہوتا ہے

تخم الفت ترا بونا کیسا

ایک دن جان مری لے فصاد

روز نشتر کا چبھونا کیسا

اب بھی تکلیف مجھے دیتے ہو

جاؤ بھی لاش پہ رونا کیسا

کیا جوانی نے سکھایا ہے تمہیں

لے کے انگڑائیاں سونا کیسا

کچھ کہا میں نے وہ کہتا ہے شفیقؔ

دکھڑا ہر روز کا رونا کیسا

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

sabr kahta hai ki rona kaisa
hijr mein jaan ka khona kaisa

ghair ne jhuT kaha tha mujh se
yar ka ghar mein na hona kaisa

dard se tir jigar ka khincho
KHun mein hath Dubona kaisa

hijr ki raat buri hoti hai
aah rukti nahin sona kaisa

ishq mein koi bashar laeq ho
is mein barbaad na hona kaisa

baad marne ke jo taDpa mera dil
shaq hua qabr ka kona kaisa

nam tera hai mere bais se
bahr-e-gham mujh ko Dubona kaisa

jal bhi jae to na uf munh se kare
ai shama raaton ko rona kaisa

jo ki ho KHak-nashin muddat se
us ko shaffaf bichhauna kaisa

kahta hai zabt ki tum sabir ho
dard ho dil mein to rona kaisa

dil-e-ashiq se numu hota hai
tuKHm-e-ulfat tera bona kaisa

ek din jaan meri le fassad
roz nashtar ka chubhona kaisa

ab bhi taklif mujhe dete ho
jao bhi lash pe rona kaisa

kya jawani ne sikhaya hai tumhein
le ke angDaiyan sona kaisa

kuchh kaha main ne wo kahta hai 'shafiq'
dukhDa har roz ka rona kaisa

(472) ووٹ وصول ہوئے

More Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Poetry

کسی کی آنکھ میں رہتا کسی کے دل میں رہ جاتا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

سینے پہ ہاتھ رکھے تھا اور رنگ زرد تھا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Sine Pe Hath Rakkhe Tha Aur Rang Zard Tha

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

دل کہتا ہے دیکھوں گا ترا تیر نظر توڑ

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Dil Kahta Hai Dekhunga Tera Tir-e-nazar Tod

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

تجھی سے کرتا ہوں میں حال دل بیاں قاصد

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Tujhi Se Karta Hun Main Haal-e-dil Bayan Qasid

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

اتفاقاً ہوئی ساقی تری گفتار غلط

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Ittifaqan Hui Saqi Teri Guftar Ghalat

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

اس طرح دیں گے وصل میں تکرار کا جواب

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Is Tarah Denge Wasl Mein Takrar Ka Jawab

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

سمجھ میں کچھ نہیں آتا معاملہ دل کا

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Samajh Mein Kuchh Nahin Aata Moamla Dil Ka

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

موت دیوانہ کو آئی ہے بیاباں کے پاس

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi - سید احمد حسین شفیق لکھنوی

Maut Diwane Ko Aai Hai Bayaban Ke Pas

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi at UrduPoint. Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa is one of the masterpieces written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi' above.

Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sabr Kahta Hai Ki Rona Kaisa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.