Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata, Urdu Ghazal By Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کی آنکھ میں رہتا کسی کے دل میں رہ جاتا

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

کسی کی آنکھ میں رہتا کسی کے دل میں رہ جاتا

غبار غم زدہ اٹھتا تو اس مشکل میں رہ جاتا

لیا ہے گاہے گاہے نقش پائے یار کا بوسہ

نہ وہ باہر نکلتا یہ بھی ارماں دل میں رہ جاتا

سبب سے ناتوانی کے نہ پہونچا کوئے جاناں تک

جو میں گھر سے نکلتا پہلی ہی منزل میں رہ جاتا

زمانہ ہاتھ پھیلاتا حمیت ترک کر دیتا

عدم کی راہ میں گر کچھ کف سائل میں رہ جاتا

ہمیشہ میں خدنگ ناز کو رکھتا ہوں سینے میں

مرے دل سے نکلتا دوسرے کے دل میں رہ جاتا

ہمارے خون ناحق کی شہادت حشر میں دیتا

اگر دھبہ لہو کا خنجر قاتل میں رہ جاتا

سنا ہے بعد میرے اقربا کی غیر حالت تھی

نہ میری موت آتی میں بھی اس مشکل میں رہ جاتا

مری دریائے غم میں موت آ جاتی تو یہ ہوتا

بس اک طوفان اٹھ کر دامن ساحل میں رہ جاتا

یقیں ہے یوں تڑپتا سارے عالم کو خبر ہوتی

اگر دم نام کو باقی ترے گھائل میں رہ جاتا

ملا ہے خاک میں مجنوں سوارت ساری محنت تھی

کوئی ذرہ جو اڑ کر گوشۂ محمل میں رہ جاتا

لگایا ہاتھ پورا اور کہا جلاد نے ہنس کر

یہ کیوں ارمان اک باقی دل بسمل میں رہ جاتا

گیا میں اس کی صحبت میں خوشی سے موت آ جاتی

بہت اچھا تھا میرا ذکر اس محفل میں رہ جاتا

یقیں ہے بعد میرے پھر کسی کا امتحاں ہوتا

جو کوئی ظلم باقی آسماں کے دل میں رہ جاتا

غش آیا اس کو ایسا حشر کرتا سارے عالم میں

جو کچھ بھی ہوش باقی آپ کے غافل میں رہ جاتا

عیادت کو ترے احباب گر کچھ بھی نہ آ پائے

شفیقؔ اس بات کا ارمان تیرے دل میں رہ جاتا

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

kisi ki aankh mein rahta kisi ke dil mein rah jata
ghubar-e-gham-zada uThta to is mushkil mein rah jata

liya hai gahe-gahe naqsh-e-pa-e-yar ka bosa
na wo bahar nikalta ye bhi arman dil mein rah jata

sabab se na-tawani ke na pahuncha ku-e-jaanan tak
jo main ghar se nikalta pahli hi manzil mein rah jata

zamana hath phailata hamiyyat tark kar deta
adam ki rah mein gar kuchh kaf-e-sail mein rah jata

hamesha main KHadang-e-naz ko rakhta hun sine mein
mere dil se nikalta dusre ke dil mein rah jata

hamare KHun-e-nahaq ki shahadat hashr mein deta
agar dhabba lahu ka KHanjar-e-qatil mein rah jata

suna hai baad mere aqraba ki ghair haalat thi
na meri maut aati main bhi is mushkil mein rah jata

meri dariya-e-gham mein maut aa jati to ye hota
bas ek tufan uTh kar daman-e-sahil mein rah jata

yaqin hai yun taDapta sare aalam ko KHabar hoti
agar dam nam ko baqi tere ghayal mein rah jata

mila hai KHak mein majnun suwarat sari mehnat thi
koi zarra jo uD kar gosha-e-mahmil mein rah jata

lagaya hath pura aur kaha jallad ne hans kar
ye kyon arman ek baqi dil-e-bismil mein rah jata

gaya main us ki sohbat mein KHushi se maut aa jati
bahut achchha tha mera zikr us mahfil mein rah jata

yaqin hai baad mere phir kisi ka imtihan hota
jo koi zulm baqi aasman ke dil mein rah jata

ghash aaya us ko aisa hashr karta sare aalam mein
jo kuchh bhi hosh baqi aap ke ghafil mein rah jata

ayaadat ko tere ahbab gar kuchh bhi na aa pae
'shafiq' is baat ka arman tere dil mein rah jata

(487) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Poetry

You can read Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi at UrduPoint. Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata is one of the masterpieces written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi' above.

Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ki Aankh Mein Rahta Kisi Ke Dil Mein Rah Jata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.