KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad, Urdu Ghazal By Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا کے واسطے کچھ دن ہو مہرباں صیاد

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

خدا کے واسطے کچھ دن ہو مہرباں صیاد

نہ کر بہار میں مجھ کو رواں دواں صیاد

بڑھی ہے حد سے سوا گرمی فغاں صیاد

کہ اب تو خشک ہوئی جاتی ہے زباں صیاد

گزشتہ حال مجھے اپنا یاد کرنے دے

سناؤں گا تجھے پھر اپنی داستاں صیاد

قفس میں دیکھ کے افسردہ مہربانی کی

سنا رہا ہے مجھے اپنی داستاں صیاد

غرض یہ ہے کہ رہوں حشر تک اسیر ترا

مرے پہ کاٹنا میری نہ بیڑیاں صیاد

اسیر کہتے ہیں سب میری بد زبانی سے

عجب نہیں کہ ابھی کاٹ لے زباں صیاد

پروں کو کھول کے اس کو دعائیں دیتا ہے

جو کچھ اسیر پہ ہوتا ہے مہرباں صیاد

زمانہ قید میں گزرا تو کی ہے دل جوئی

کہ رفتہ رفتہ ہوا ہے مزاج داں صیاد

اسیر تو نے کیا ہے تجھی سے کہنا ہے

برا بھلا مجھے کہنا ہے باغباں صیاد

کیا ہے قید مگر یہ بتا خدا کے لئے

چمن سے لے کے مجھے جائے گا کہاں صیاد

قفس کے پاس اگر آ کے بیٹھ دم بھر کو

مزے کی تجھ کو سناؤں گا داستاں صیاد

چمن سے دشت میں جانا ہے بلبلوں کا محال

سنا ہے راہ میں لوٹے گا کارواں صیاد

اسے شجر کو گرایا ہے باغ میں تو نے

کہ جس کی شاخ پہ تھا میرا آشیاں صیاد

نہ آشیاں ہے نہ میں ہوں نہ ہے قفس باقی

سمجھ سمجھ کے مٹایا مرا نشاں صیاد

یقین ہے کہ کسی روز دل کو تھامے گا

سنی اسیروں کی چھپ چھپ کے داستاں صیاد

جو اب زباں سے کروں جل کے خاک ہو جائیں

برائے نام قفس کی ہیں تیلیاں صیاد

کرے اسیروں پہ جو ظلم تجھ کو زیبا ہے

زمین تیری ہے تیرا ہے آسماں صیاد

ہوئی ہے قید میں مدت کہ کچھ بھی یاد نہیں

کہ تھی بہار گلستاں میں یا خزاں صیاد

اثر تو دیکھ میں ذکر بہار کرتا ہوں

کہ سبز ہوں گی قفس کی بھی تیلیاں صیاد

شفیقؔ ضبط کیا ایسا آہ سوزاں کو

جگر سے اب مرے اٹھنے لگا دھواں صیاد

سید احمد حسین شفیق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad

Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

KHuda ke waste kuchh din ho mehrban sayyaad
na kar bahaar mein mujh ko rawan-dawan sayyaad

baDhi hai had se siwa garmi-e-fughan sayyaad
ki ab to KHushk hui jati hai zaban sayyaad

guzishta haal mujhe apna yaad karne de
sunaunga tujhe phir apni dastan sayyaad

qafas mein dekh ke afsurda mehrbani ki
suna raha hai mujhe apni dastan sayyaad

gharaz ye hai ki rahun hashr tak asir tera
mare pe kaTna meri na beDiyan sayyaad

asir kahte hain sab meri bad-zabani se
ajab nahin ki abhi kaT le zaban sayyaad

paron ko khol ke us ko duaen deta hai
jo kuchh asir pe hota hai meherban sayyaad

zamana qaid mein guzra to ki hai dil-jui
ki rafta rafta hua hai mizaj-dan sayyaad

asir tu ne kiya hai tujhi se kahna hai
bura bhala mujhe kahna hai baghban sayyaad

kiya hai qaid magar ye bata KHuda ke liye
chaman se le ke mujhe jaega kahan sayyaad

qafas ke pas agar aa ke baiTh dam bhar ko
maze ki tujh ko sunaunga dastan sayyaad

chaman se dasht mein jaana hai bulbulon ka muhaal
suna hai rah mein luTega karwan sayyaad

use shajar ko giraya hai bagh mein tu ne
ki jis ki shaKH pe tha mera aashiyan sayyaad

na aashiyan hai na main hun na hai qafas baqi
samajh samajh ke miTaya mera nishan sayyaad

yaqin hai ki kisi roz dil ko thamega
suni asiron ki chhup-chhup ke dastan sayyaad

jo ab zaban se karun jal ke KHak ho jaen
barae nam qafas ki hain tiliyan sayyaad

kare asiron pe jo zulm tujh ko zeba hai
zamin teri hai tera hai aasman sayyaad

hui hai qaid mein muddat ki kuchh bhi yaad nahin
ki thi bahaar gulistan mein ya KHizan sayyaad

asar to dekh main zikr-e-bahaar karta hun
ki sabz hongi qafas ki bhi tiliyan sayyaad

'shafiq' zabt kiya aisa aah-e-sozan ko
jigar se ab mere uThne laga dhuan sayyaad

(446) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi Poetry

You can read KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi at UrduPoint. KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad is one of the masterpieces written by Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi' above.

KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda Ke Waste Kuchh Din Ho Mehrban Sayyaad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.