PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun, Urdu Nazam By Seema Shakeb

PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Seema Shakeb. PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun comes under the Sad category of Urdu Nazam. You can read PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پہاڑوں پر میں ننگے پاؤں چلنا چاہتی ہوں

سیما شکیب

حدود شہر سے باہر

کڑکتی دھوپ میں چٹئیل پہاڑوں پر

میں ننگے پاؤں چلنا چاہتی ہوں مجھے محسوس ہوتا ہے

ہوا صحرا میں تنہائی کا نوحہ پڑھ رہی ہے چٹانوں کے بدن

میرے گلابی نرم تلووں سے کچل جانے کی حسرت میں سلگتے ہیں

دہکتے پتھروں کے ہونٹ

میری انگلیوں کے لمس کی چاہت میں جلتے ہیں

کسی ذی روح کے قدموں کی آہٹ کو ترستی یہ چٹانیں

جانے کب سے منتظر ہیں ان کی جو دکھ بانٹ لیتے ہیں

قریب آتے ہیں

دوری کی خلیجیں پاٹ لیتے ہیں

میں ان سے جا ملوں گی اور سرگوشی کروں گی

سنو میں بھی دکھی ہوں فرق بس یہ ہے

تمہیں تنہائی کا غم ہے مجھے لوگوں سے مل کر دکھ ملے ہیں

سنو تنہائی بے شک جاں گسل ہے دشمن دل ہے

مگر تنہائی میں پھر بھی اماں ہے یہ دکھ کیسا ہی گہرا کیوں نہ ہو

پھر بھی رگ جاں سے قریب آئے ہوئے

لوگوں کے بخشندہ دکھوں سے کم ہی ہوگا

کم ہی ہوتا ہے اسے سہنا بہت مشکل سہی ممکن تو ہوتا ہے

سیما شکیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun

Seema Shakeb

hudud-e-shahr se bahar
kaDakti dhup mein chatiyal pahaDon par
main nange panw chalna chahti hun mujhe mahsus hota hai
hawa sahra mein tanhai ka nauha paDh rahi hai chaTanon ke badan
mere gulabi narm talwon se kuchal jaane ki hasrat mein sulagte hain
dahakte pattharon ke honT
meri ungliyon ke lams ki chahat mein jalte hain
kisi zi-ruh ke qadmon ki aahaT ko tarasti ye chaTanen
jaane kab se muntazir hain un ki jo dukh banT lete hain
qarib aate hain
duri ki KHalijen paT lete hain
main un se ja milungi aur sargoshi karungi
suno main bhi dukhi hun farq bas ye hai
tumhein tanhai ka gham hai mujhe logon se mil kar dukh mile hain
suno tanhai be-shak jaan-gusil hai dushman-e-dil hai
magar tanhai mein phir bhi aman hai ye dukh kaisa hi gahra kyon na ho
phir bhi rag-e-jaan se qarib aae hue
logon ke baKHshinda dukhon se kam hi hoga
kam hi hota hai use sahna bahut mushkil sahi mumkin to hota hai

(280) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun written by Seema Shakeb at UrduPoint. PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun is one of the masterpieces written by Seema Shakeb. You can also find the complete poetry collection of Seema Shakeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seema Shakeb' above.

PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun is a widely read Urdu Nazam. If you like PahaDon Par Main Nange Panw Chalna Chahti Hun, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.