Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein, Urdu Ghazal By Seemab Akbarabadi

Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Seemab Akbarabadi. Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شاید جگہ نصیب ہو اس گل کے ہار میں

سیماب اکبرآبادی

شاید جگہ نصیب ہو اس گل کے ہار میں

میں پھول بن کے آؤں گا اب کی بہار میں

کفنائے باغباں مجھے پھولوں کے ہار میں

کچھ تو برا ہو دل مرا اب کی بہار میں

گندھوا کے دل کو لائے ہیں پھولوں کے ہار میں

یہ ہار ان کو نذر کریں گے بہار میں

نچلا رہا نہ سوز دروں انتظار میں

اس آگ نے سرنگ لگا دی مزار میں

خلوت خیال یار سے ہے انتظار میں

آئیں فرشتے لے کے اجازت مزار میں

ہم کو تو جاگنا ہے ترے انتظار میں

آئی ہو جس کو نیند وہ سوئے مزار میں

میں دل کی قدر کیوں نہ کروں ہجر یار میں

ان کی سی شوخیاں ہیں اسی بے قرار میں

سیمابؔ بے تڑپ سی تڑپ ہجر یار میں

کیا بجلیاں بھری ہیں دل بے قرار میں

تھی تاب حسن شوخیٔ تصویر یار میں

بجلی چمک گئی نظر بے قرار میں

بادل کی یہ گرج نہیں ابر بہار میں

برا رہا ہے کوئی شرابی خمار میں

عمر دراز مانگ کے لائی تھی چار دن

دو آرزو میں کٹ گئے دو انتظار میں

تنہا مرے ستانے کو رہ جائے کیوں زمیں

اے آسمان تو بھی اتر آ مزار میں

خود حسن نا خدائے محبت خدائے دل

کیا کیا لئے ہیں میں نے ترے نام پیار میں

مجھ کو مٹا گئی روش شرمگیں تری

میں جذب ہو گیا نگۂ شرمسار میں

اللہ رے شام غم مری بے اختیاریاں

اک دل ہے پاس وہ بھی نہیں اختیار میں

اے اشک گرم ماند نہ پڑ جائے روشنی

پھر تیل ہو چکا ہے دل داغدار میں

یہ معجزہ ہے وحشت عریاں پسند کا

میں کوئے یار میں ہوں کفن ہے مزار میں

اے درد دل کو چھیڑ کے پھر بار بار چھیڑ

ہے چھیڑ کا مزا خلش بار بار میں

افراط معصیت سے فضیلت ملی مجھے

میں ہوں گناہ گاروں کی پہلی قطار میں

ڈرتا ہوں یہ تڑپ کے لحد کو الٹ نہ دے

ہاتھوں سے دل دبائے ہوئے ہوں مزار میں

تم نے تو ہاتھ جور و ستم سے اٹھا لیا

اب کیا مزا رہا ستم روزگار میں

کیا جانے رحمتوں نے لیا کس طرح حساب

دو چار بھی گناہ نہ نکلے شمار میں

او پردہ دار اب تو نکل آ کہ حشر ہے

دنیا کھڑی ہوئی ہے ترے انتظار میں

روئی ہے ساری رات اندھیرے میں بے کسی

آنسو بھرے ہوئے ہیں چراغ مزار میں

سیمابؔ پھول اگیں لحد عندلیب سے

اتنی تو زندگی ہو ہوائے بہار میں

سیماب اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein

Seemab Akbarabadi

shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein
main phul ban ke aaunga ab ki bahaar mein

kafnae baghban mujhe phulon ke haar mein
kuchh to bura ho dil mera ab ki bahaar mein

gundhwa ke dil ko lae hain phulon ke haar mein
ye haar un ko nazr karenge bahaar mein

nichla raha na soz-e-darun intizar mein
is aag ne surang laga di mazar mein

KHalwat KHayal-e-yar se hai intizar mein
aaen farishte le ke ijazat mazar mein

hum ko to jagna hai tere intizar mein
aai ho jis ko nind wo soe mazar mein

main dil ki qadr kyun na karun hijr-e-yar mein
un ki si shoKHiyan hain isi be-qarar mein

'simab' be-taDap si taDap hijr-e-yar mein
kya bijliyan bhari hain dil-e-be-qarar mein

thi tab-e-husn shoKHi-e-taswir-e-yar mein
bijli chamak gai nazar-e-be-qarar mein

baadal ki ye garaj nahin abr-e-bahaar mein
barra raha hai koi sharabi KHumar mein

umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizar mein

tanha mere satane ko rah jae kyun zamin
ai aasman tu bhi utar aa mazar mein

KHud husn na-KHuda-e-mohabbat KHuda-e-dil
kya kya liye hain main ne tere nam pyar mein

mujh ko miTa gai rawish-e-sharmgin teri
mein jazb ho gaya nigah-e-sharmsar mein

allah-re sham-e-gham meri be-iKHtiyariyan
ek dil hai pas wo bhi nahin iKHtiyar mein

ai ashk-e-garm mand na paD jae raushni
phir tel ho chuka hai dil-e-dagh-dar mein

ye moajiza hai wahshat-e-uryan-pasand ka
main ku-e-yar mein hun kafan hai mazar mein

ai dard dil ko chheD ke phir bar bar chheD
hai chheD ka maza KHalish-e-bar-bar mein

ifraat-e-masiyat se fazilat mili mujhe
main hun gunahgaron ki pahli qatar mein

Darta hun ye taDap ke lahad ko ulaT na de
hathon se dil dabae hue hun mazar mein

tum ne to hath jaur-o-sitam se uTha liya
ab kya maza raha sitam-e-rozgar mein

kya jaane rahmaton ne liya kis tarah hisab
do chaar bhi gunah na nikle shumar mein

o parda-dar ab to nikal aa ki hashr hai
duniya khaDi hui hai tere intizar mein

roi hai sari raat andhere mein be-kasi
aansu bhare hue hain charagh-e-mazar mein

'simab' phul ugen lahad-e-andalib se
itni to zindagi ho hawa-e-bahaar mein

(478) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein written by Seemab Akbarabadi at UrduPoint. Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein is one of the masterpieces written by Seemab Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Seemab Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seemab Akbarabadi' above.

Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shayad Jagah Nasib Ho Us Gul Ke Haar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.