Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبح گلشن میں ہو گر وہ گل خنداں پیدا

شاہ نصیر

صبح گلشن میں ہو گر وہ گل خنداں پیدا

بیضۂ غنچہ سے ہو بلبل نالاں پیدا

اشک ہے ہم رہ آہ دل سوزاں پیدا

کیا تماشا ہے کہ آتش سے ہے باراں پیدا

ہے عجب کار نمایاں ترے چشم و لب سے

پل میں مر جاتے ہیں ہم دم میں ہیں پھر ہاں پیدا

قد ترا اے بت گل پوش ہو گر سایہ فگن

تو قیامت ہو سر خاک شہیداں پیدا

لے اڑا باد کے مانند پہ پانی ساقی

کشتئ مے ہوئی جوں تخت سلیماں پیدا

ہوں وہ مجنوں کہ کرے ہے مری پا بوسی کو

سلسلہ حلقۂ چشمان غزالاں پیدا

ہنس کے دنداں کو دکھا دو تو نہ شبنم سے سحر

دہن غنچہ کرے باغ میں دنداں پیدا

زلف و خط دیکھ ترے رخ پہ نہ کیوں حیراں ہوں

چشمۂ مہر میں ہیں سنبل و ریحاں پیدا

کیا غضب ہے یہ ترے دامن مژگاں کی جھپک

عشق کے دل سے ہوئی آتش پنہاں پیدا

تجھ کو دوں حور سے نسبت تو یہ میرا ہے قصور

کہ جہاں میں نہیں تجھ سا کوئی انساں پیدا

تیری خدمت کو پرستاں میں بنی ہیں پریاں

اور غلامی کے لئے ہیں تری غلماں پیدا

یہ ترے زیر ذقن دست حنائی ہے کہاں

سیب جنت سے ہے سر پنجۂ مرجاں پیدا

طرفہ تر لکھ غزل اس بحر میں اک اور نصیرؔ

کرتے ہیں گوہر معنی کو سخنداں پیدا

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida

Shah Naseer

subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-KHandan paida
baiza-e-ghuncha se ho bulbul-e-nalan paida

ashk hai ham-rah-e-ah-e-dil-e-sozan paida
kya tamasha hai ki aatish se hai baran paida

hai ajab kar numayan tere chashm o lab se
pal mein mar jate hain hum dam mein hain phir han paida

qad tera ai but-e-gul-posh ho gar saya-fagan
to qayamat ho sar-e-KHak-e-shahidan paida

le uDa baad ke manind pa pani saqi
kashti-e-mai hui jun taKHt-e-sulaiman paida

hun wo majnun ki kare hai meri pa-bosi ko
silsila halqa-e-chashman-e-ghazalan paida

hans ke dandan ko dikha do to na shabnam se sahar
dahan-e-ghuncha kare bagh mein dandan paida

zulf o KHat dekh tere ruKH pe na kyun hairan hon
chashma-e-mahr mein hain sumbul-o-raihan paida

kya ghazab hai ye tere daman-e-mizhgan ki jhapak
ishq ke dil se hui aatish-e-pinhan paida

tujh ko dun hur se nisbat to ye mera hai qusur
ki jahan mein nahin tujh sa koi insan paida

teri KHidmat ko paristan mein bani hain pariyan
aur ghulami ke liye hain teri ghilman paida
ye tere zer-e-zaqan dast-e-hinai hai kahan
seb-e-jannat se hai sar-panja-e-marjaan paida

Turfa-tar likh ghazal is bahr mein ek aur 'nasir'
karte hain gauhar-e-mani ko suKHan-dan paida

(502) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida written by Shah Naseer at UrduPoint. Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida is a widely read Urdu Ghazal. If you like Subh-e-gulshan Mein Ho Gar Wo Gul-e-KHandan Paida, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.