Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka, Urdu Nazam By Shaheen Iqbal Asar

Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shaheen Iqbal Asar. Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہو رہا ہے ذکر پیہم آم کا

شاہین اقبال اثر

ہو رہا ہے ذکر پیہم آم کا

آ رہا ہے پھر سے موسم آم کا

نظم لکھ کر اس کے استقبال میں

کر رہا ہوں خیر مقدم آم کا

ان سے ہم رکھیں زیادہ ربط کیوں

شوق جو رکھتے ہیں کم کم آم کا

تب کہیں آتا ہے میرے دم میں دم

نام جب لیتا ہوں ہمدم آم کا

شوق سے پڑھتے ہیں اس کو خاص و عام

جب قصیدہ لکھتے ہیں ہم آم کا

کیا کہوں اسمار کی فہرست میں

نام ہے سب سے مقدم آم کا

اک فقط میں ہی نہیں شیدا اثرؔ

شیدا ہے عالم کا عالم آم کا

شاہین اقبال اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka

Shaheen Iqbal Asar

ho raha hai zikr paiham aam ka
aa raha hai phir se mausam aam ka
nazm likh kar us ke istiqbaal mein
kar raha hun KHair-maqdam aam ka
un se hum rakkhen ziyaada rabt kyun
shauq jo rakhte hain kam kam aam ka
tab kahin aata hai mere dam mein dam
nam jab leta hun hamdam aam ka
shauq se paDhte hain us ko KHas-o-am
jab qasida likhte hain hum aam ka
kya kahun asmar ki fihrist mein
nam hai sab se muqaddam aam ka
ek faqat main hi nahin shaida 'asar'
shaida hai aalam ka aalam aam ka

(297) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka written by Shaheen Iqbal Asar at UrduPoint. Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka is one of the masterpieces written by Shaheen Iqbal Asar. You can also find the complete poetry collection of Shaheen Iqbal Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheen Iqbal Asar' above.

Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka is a widely read Urdu Nazam. If you like Ho Raha Hai Zikr Paiham Aam Ka, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.