Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain, Urdu Ghazal By Shaheer Machlishahri

Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaheer Machlishahri. Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ادب سے ذکر میرا مجنوں و فرہاد کرتے ہیں

شہیر مچھلی شہری

ادب سے ذکر میرا مجنوں و فرہاد کرتے ہیں

مری شاگردی پر اے عشق فخر استاد کرتے ہیں

تمنا تھی کبھی یہ آ کے کہتا چوب دار ان کا

اٹھو جلدی چلو سرکار تم کو یاد کرتے ہیں

تمہارے خفتگان خاک کا ہے اک جدا عالم

نئی دنیا یہ سب زیر زمیں آباد کرتے ہیں

ہمیں تو دیکھنا ہے ان کی بزم ناز میں چل کر

کسے وہ شاد کرتے ہیں کسے ناشاد کرتے ہیں

گلے کٹوا کے وہ نالہ کشوں کی جان لیتے ہیں

نیا شہر خموشاں ان دنوں آباد کرتے ہیں

حسینوں کی جفا ہے تازیانہ ہم کو غفلت کا

بتوں کے ظلم پر اپنے خدا کو یاد کرتے ہیں

نہ تھا کچھ دور گلشن بھی قفس ہی لے کے اڑ جاتے

مگر پاس و لحاظ خاطر صیاد کرتے ہیں

خبر دیتی ہیں آ آ کر یہ مجھ کو ہچکیاں میری

مبارک ہو تمہیں بھولے جو تھے وہ یاد کرتے ہیں

فلک کے سینہ سے بھی پار ہوں گے تیر آہوں کے

فرشتوں سے کہو ہٹ جائیں ہم فریاد کرتے ہیں

کھڑے ہیں دیر سے ہم انتظار حکم عالی میں

ہمارے حق میں آخر آپ کیا ارشاد کرتے ہیں

وفور غم سے بچوں کی طرح ہم رونے لگتے ہیں

کبھی پیری میں جب اپنی جوانی یاد کرتے ہیں

لڑکپن میں پڑھا تھا باب پنجم جو گلستاں کا

شہیرؔ اب آپ پیری میں اسے کیوں یاد کرتے ہیں

شہیر مچھلی شہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain

Shaheer Machlishahri

adab se zikr mera majnun-o-farhad karte hain
meri shagirdi par ai ishq faKHr ustad karte hain

tamanna thi kabhi ye aa ke kahta chobdar un ka
uTho jaldi chalo sarkar tum ko yaad karte hain

tumhaare KHuftagan-e-KHak ka hai ek juda aalam
nai duniya ye sab zer-e-zamin aabaad karte hain

hamein to dekhna hai un ki bazm-e-naz mein chal kar
kise wo shad karte hain kise nashad karte hain

gale kaTwa ke wo nala-kashon ki jaan lete hain
naya shahr-e-KHamoshan in dinon aabaad karte hain

hasinon ki jafa hai taziyana hum ko ghaflat ka
buton ke zulm par apne KHuda ko yaad karte hain

na tha kuchh dur gulshan bhi qafas hi le ke uD jate
magar pas-o-lihaz-e-KHatir-e-sayyaad karte hain

KHabar deti hain aa aa kar ye mujh ko hichkiyan meri
mubarak ho tumhein bhule jo the wo yaad karte hain

falak ke sine se bhi par honge tir aahon ke
farishton se kaho haT jaen hum fariyaad karte hain

khaDe hain der se hum intizar-e-hukm-e-ali mein
hamare haq mein aaKHir aap kya irshad karte hain

wufur-e-gham se bachchon ki tarah hum rone lagte hain
kabhi piri mein jab apni jawani yaad karte hain

laDakpan mein paDha tha bab-e-panjum jo gulistan ka
'shahir' ab aap piri mein use kyon yaad karte hain

(505) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain written by Shaheer Machlishahri at UrduPoint. Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain is one of the masterpieces written by Shaheer Machlishahri. You can also find the complete poetry collection of Shaheer Machlishahri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheer Machlishahri' above.

Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Adab Se Zikr Mera Majnun-o-farhad Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.