Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin, Urdu Ghazal By Shaida Allahabadi

Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaida Allahabadi. Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بات کو تھاپ چاہئے اچھے برے کہاں نہیں

شیدا الہ آبادی

بات کو تھاپ چاہئے اچھے برے کہاں نہیں

ان کی نہیں نہیں نہیں ان کی تو ہاں بھی ہاں نہیں

بیاہ دو آنکھ موند کر دیکھو کرو نہ ہاں نہیں

اس کے بھی باپ ماں نہیں اس کے بھی باپ ماں نہیں

الٹی کبیر داس کی بیٹی سمجھ میں آئے کیا

کہتے تو ہیں وہ ہاں نہیں کہتے تو ہیں وہ ہاں نہیں

اس کو شریف کہتے ہیں ایسے شریف ہوتے ہیں

باپ کے نکلے باپ تم خیر یہ ہے کہ ماں نہیں

آپ اگر نہیں ہیں چور میں بھی تو پھر نہیں چھچھور

گھر میں بلا لوں کس طرح بی بی نہیں میاں نہیں

آم کہو تو وہ برا املی کہو تو وہ بری

پوچھو تو اور کون ہیں جب یہ میاں چیاں نہیں

جھوٹی ہو جھوٹ بکتی ہو جھوٹ بھی وہ کہ سچ کا باپ

کیسے تمہاری مان لوں ایسے مرے میاں نہیں

اپنے خدا سے لو لگائے صبر کئے پڑی ہوں میں

سونی پڑی ہے جھوپڑی آگ نہیں دھواں نہیں

بیٹی کا بیاہ ہو چکا بیٹے کا بیاہ کر چکیں

کوئی کہے یہاں نہیں کوئی کہے وہاں نہیں

میرے لئے ہے نند زہر ان کے لئے ہے ساس قہر

میرا گزارا واں نہیں ان کا گزارا یاں نہیں

لاکھ میں ایک ہیں میاں اجڑی دلہن خطاب ہے

کان میں بالیاں نہیں ہاتھ میں چوڑیاں نہیں

نوشے میاں تمہارے تو بیاہ کے دن ابھی نہ تھے

سمٹے ہوئے ہو شرم سے منہ پہ یہ جھریاں نہیں

کیسے بتاؤں لڑکیو روح کی تم کو اصلیت

ساتھ ہے سائے کی طرح دیتی پر اپنی چھاں نہیں

پیٹ میں دانہ چاہئے جیب میں دام چاہئے

مہنگی سے مہنگی چیز بھی پھر تو میاں گراں نہیں

عقل کے چلتے اے میاں کھاتے ہو مفت ٹھوکریں

دین کی راہ صاف ہے کھائی نہیں کنواں نہیں

ریختی ہے یہ ریختی شیداؔ اب اور کیا کہوں

سو کی ایک یہ بات ہے سب میں یہ خوبیاں نہیں

شیدا الہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin

Shaida Allahabadi

baat ko thap chahiye achchhe bure kahan nahin
un ki nahin nahin nahin un ki to han bhi han nahin

byah do aankh mund kar dekho karo na han nahin
is ke bhi bap man nahin us ke bhi bap man nahin

ulTi kabir das ki beTi samajh mein aae kya
kahte to hain wo han nahin kahte to hain wo han nahin

is ko sharif kahte hain aise sharif hote hain
bap ke nikle bap tum KHair ye hai ki man nahin

aap agar nahin hain chor main bhi to phir nahin chhichhor
ghar mein bula lun kis tarah bibi nahin miyan nahin

aam kaho to wo bura imli kaho to wo buri
puchho to aur kaun hain jab ye miyan chiyan nahin

jhuTi ho jhuT bakti ho jhuT bhi wo ki sach ka bap
kaise tumhaari man lun aise mere miyan nahin

apne KHuda se lau lagae sabr kiye paDi hun main
suni paDi hai jhopDi aag nahin dhuan nahin

beTi ka byah ho chuka beTe ka byah kar chukin
koi kahe yahan nahin koi kahe wahan nahin

mere liye hai nand zahr un ke liye hai sas qahr
mera guzara wan nahin un ka guzara yan nahin

lakh mein ek hain miyan ujDi dulhan KHitab hai
kan mein baaliyan nahin hath mein chuDiyan nahin

naushe miyan tumhaare to byah ke din abhi na the
simTe hue ho sharm se munh pe ye jhurriyan nahin

kaise bataun laDkiyo ruh ki tum ko asliyat
sath hai sae ki tarah deti par apni chhan nahin

peT mein dana chahiye jeb mein dam chahiye
mahngi se mahngi chiz bhi phir to miyan garan nahin

aql ke chalte ai miyan khate ho muft Thokaren
din ki rah saf hai khai nahin kuan nahin

reKHti hai ye reKHti 'shaida' ab aur kya kahun
sau ki ek ye baat hai sab mein ye KHubiyan nahin

(387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin written by Shaida Allahabadi at UrduPoint. Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin is one of the masterpieces written by Shaida Allahabadi. You can also find the complete poetry collection of Shaida Allahabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaida Allahabadi' above.

Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Baat Ko Thap Chahiye Achchhe Bure Kahan Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.