Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai, Urdu Ghazal By Shaida Allahabadi

Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaida Allahabadi. Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ تجھ سے شکایت موئے بے پیر نہیں ہے

شیدا الہ آبادی

کچھ تجھ سے شکایت موئے بے پیر نہیں ہے

قسمت کی خطا ہے تری تقصیر نہیں ہے

کاغذ نہیں لکھا کوئی تحریر نہیں ہے

کیوں نکلوں ترے باپ کی جاگیر نہیں ہے

مصری یوں ہی بکتی ہے ذرا چکھ کے تو دیکھو

یہ پیچ ہے چاول کی اجی کھیر نہیں ہے

وہ چاندنی پھر لا کے حوالے مرے کر دیں

ایسی تو اجاگر مری تقدیر نہیں ہے

اک جان سے دو جان تو ہونی نہیں ہرگز

یا میں نہیں یا اب تری ہمشیر نہیں ہے

سونا بھی جو چھوتی ہوں تو ہو جاتا ہے مٹی

اکسیر بھی میرے لئے اکسیر نہیں ہے

یہ ساس موئی چاہے جو کچھ ان سے لگائے

اس میں تو مری کوئی بھی تقصیر نہیں ہے

کھانا کوئی کیا ہاتھ سے پھر اپنے نکالے

ڈوئی نہیں چمچہ نہیں کف گیر نہیں ہے

بیٹی نہیں دیتی تمہیں دیتی ہوں میں لونڈی

دولت نہیں رکھتی کوئی جاگیر نہیں ہے

وہ طوق تو رکھ آئے تھے پہلے ہی جوئے میں

اب دیکھتی ہوں آج تو زنجیر نہیں ہے

شیداؔ کو زباں دانی کی کچھ داد تو ملتی

افسوس کہ اس وقت بوا میر نہیں ہے

شیدا الہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai

Shaida Allahabadi

kuchh tujh se shikayat mue be-pir nahin hai
qismat ki KHata hai teri taqsir nahin hai

kaghaz nahin likkha koi tahrir nahin hai
kyon niklun tere bap ki jagir nahin hai

misri yun hi bikti hai zara chakh ke to dekho
ye pich hai chawal ki aji khir nahin hai

wo chandni phir la ke hawale mere kar den
aisi to ujagar meri taqdir nahin hai

ek jaan se do jaan to honi nahin hargiz
ya main nahin ya ab teri ham-shir nahin hai

sona bhi jo chhuti hun to ho jata hai miTTi
iksir bhi mere liye iksir nahin hai

ye sas mui chahe jo kuchh un se lagae
is mein to meri koi bhi taqsir nahin hai

khana koi kya hath se phir apne nikale
Doi nahin chamcha nahin kaf-gir nahin hai

beTi nahin deti tumhein deti hun main launDi
daulat nahin rakhti koi jagir nahin hai

wo tauq to rakh aae the pahle hi jue mein
ab dekhti hun aaj to zanjir nahin hai

'shaida' ko zaban-dani ki kuchh dad to milti
afsos ki is waqt bua 'mir' nahin hai

(428) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai written by Shaida Allahabadi at UrduPoint. Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai is one of the masterpieces written by Shaida Allahabadi. You can also find the complete poetry collection of Shaida Allahabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaida Allahabadi' above.

Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Tujhse Shikayat Mue Be-pir Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.