Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad, Urdu Ghazal By Shaida Allahabadi

Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaida Allahabadi. Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں بھی تو سمجھوں کہ وہ کہتے ہیں کیا میرے باد

شیدا الہ آبادی

میں بھی تو سمجھوں کہ وہ کہتے ہیں کیا میرے باد

دل تو لینا کبھی تم ان کا ذرا میرے باد

اب وہ کیا کرتے ہیں کر سکتے ہیں کیا میرے باد

میرے بچوں کی خبر لے گا خدا میرے باد

بیٹی اللہ تمہیں صبر دے دائی تو چلی

کس کو اب کہہ کے پکاروں گی بوا میرے باد

وہ مری سوت تھی سب جس کو سمجھتے تھے بہن

کس کو معلوم تھا یہ حال کھلا میرے باد

حرج ہی کیا ہے بتا دیجئے مجھ کو بھی ذرا

کچھ تو کہتے تھے چچی جان چچا میرے باد

میں جو مر جاؤں تو بچوں پہ نہ سختی کرنا

رکھنا آرام سے ہونا نہ خفا میرے باد

اور نندوں کی طرح بھی تو نہیں میں بھابی

تم کو بھیا سے نہ کرنا تھا گلا میرے باد

تم سلامت رہو دنیا میں دعا ہے یہ مری

بے وفا عمر کرے اور وفا میرے باد

اس کو کیا کہئے یہ اعمال ہیں اپنے اپنے

مجھ سے پہلے وہ مرا دفن ہوا میرے باد

کل قیامت کو تمہیں آ کے کروں گی میں سلام

نہ سہی آج تو پاؤ گے سزا میرے باد

یاد آئے گا بہت تم کو یہ کھانا پینا

پھر کسی شے میں نہ پاؤ گے مزا میرے باد

اتنا کرنا انہیں میکے مرے پہونچا دینا

سوت کیا رکھے گی بچوں کو بھلا میرے باد

میں معافی نہ اگر مانگنے پاؤں تم سے

بخش دینا میاں تم میری خطا میرے باد

ان کو کنبے میں کسی سے نہیں اب کوئی غرض

نہ وفا باقی ہے ان میں نہ جفا میرے باد

جس قدر چاہے ستا لے مجھے یہ سوت موئی

اس کو بھی آئے گی اک روز قضا میرے باد

تھام کر عرش خدا سے میں کروں گی فریاد

میرے بچوں پہ جو تم ہو گے خفا میرے باد

کبھی در سے کبھی دیوار سے ٹکرائیں گے سر

لے کے جب آئیں گے وہ گھر میں دوا میرے باد

نبض تک میں نے حکیموں کو نہیں دکھلائی

مجھ کو منہ ڈھانک کے روئے گی حیا میرے باد

کم نہیں آج بھی گو قدر مری اے شیداؔ

نام ہوگا مرا اس سے بھی سوا میرے باد

شیدا الہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad

Shaida Allahabadi

main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad
dil to lena kabhi tum un ka zara mere baad

ab wo kya karte hain kar sakte hain kya mere baad
mere bachchon ki KHabar lega KHuda mere baad

beTi allah tumhein sabr de dai to chali
kis ko ab kah ke purkarungi bua mere baad

wo meri saut thi sab jis ko samajhte the bahan
kis ko malum tha ye haal khula mere baad

harj hi kya hai bata dijiye mujh ko bhi zara
kuchh to kahte the chachi jaan chacha mere baad

main jo mar jaun to bachchon pe na saKHti karna
rakhna aaram se hona na KHafa mere baad

aur nandon ki tarah bhi to nahin main bhabi
tum ko bhayya se na karna tha gila mere baad

tum salamat raho duniya mein dua hai ye meri
be-wafa umr kare aur wafa mere baad

is ko kya kahiye ye aamal hain apne apne
mujh se pahle wo mara dafn hua mere baad

kal qayamat ko tumhein aa ke karungi main salam
na sahi aaj to paoge saza mere baad

yaad aaega bahut tum ko ye khana pina
phir kisi shai mein na paoge maza mere baad

itna karna inhen maike mere pahuncha dena
saut kya rakkhegi bachchon ko bhala mere baad

main muafi na agar mangne paun tum se
baKHsh dena miyan tum meri KHata mere baad

in ko kumbe mein kisi se nahin ab koi gharaz
na wafa baqi hai in mein na jafa mere baad

jis qadar chahe sata le mujhe ye saut mui
is ko bhi aaegi ek roz qaza mere baad

tham kar arsh KHuda se main karungi fariyaad
mere bachchon pe jo tum hoge KHafa mere baad

kabhi dar se kabhi diwar se Takraenge sar
le ke jab aaenge wo ghar mein dawa mere baad

nabz tak main ne hakimon ko nahin dikhlai
mujh ko munh Dhank ke roegi haya mere baad

kam nahin aaj bhi go qadr meri ai 'shaida'
nam hoga mera is se bhi siwa mere baad

(378) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad written by Shaida Allahabadi at UrduPoint. Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad is one of the masterpieces written by Shaida Allahabadi. You can also find the complete poetry collection of Shaida Allahabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaida Allahabadi' above.

Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Bhi To Samjhun Ki Wo Kahte Hain Kya Mere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.