Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin, Urdu Ghazal By Shaikh Zahuruddin Hatim

Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaikh Zahuruddin Hatim. Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس دور کے اثر کا جو پوچھو بیاں نہیں

شیخ ظہور الدین حاتم

اس دور کے اثر کا جو پوچھو بیاں نہیں

ہے کون سی زمیں کہ جہاں آسماں نہیں

اس درجہ دلبروں سے کوئی رسم دلبری

دل ہاتھ پر لیے ہوں کوئی دل ستاں نہیں

افسردہ دل تھا اب تو ہوا غم سے مردہ دل

جیتا ہوں دیکھنے میں ولے مجھ میں جاں نہیں

آداب صحبتوں کا کوئی ہم سے سیکھ لے

پر کیا کروں کہ طالب صحبت یہاں نہیں

دل جل کے بجھ گیا ہے کسی نے خبر نہ لی

ہم سوختہ دلوں کا کوئی قدرداں نہیں

ہے کل کی بات سب کے دلوں میں عزیز تھا

پر ان دنوں تو ایک بھی دل مہرباں نہیں

ایسی ہوا بہی کہ ہے چاروں طرف فساد

جز سایۂ خدا کہیں دارالاماں نہیں

عالم کی ہے گی نرخ الٰہی سے زندگی

تس پر بھی دیکھتا ہوں کہ بہتوں کو ناں نہیں

حاتمؔ خموش لطف سخن کچھ نہیں رہا

بکتا عبث پھرے ہے کوئی نکتہ داں نہیں

شیخ ظہور الدین حاتم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim

is daur ke asar ka jo puchho bayan nahin
hai kaun si zamin ki jahan aasman nahin

is darja dilbaron se koi rasm-e-dilbari
dil hath par liye hun koi dil-sitan nahin

afsurda dil tha ab to hua gham se murda-dil
jita hun dekhne mein wale mujh mein jaan nahin

aadab sohbaton ka koi hum se sikh le
par kya karun ki talib-e-sohbat yahan nahin

dil jal ke bujh gaya hai kisi ne KHabar na li
hum soKHta-dilon ka koi qadr-dan nahin

hai kal ki baat sab ke dilon mein aziz tha
par in dinon to ek bhi dil mehrban nahin

aisi hawa bahi ki hai chaaron taraf fasad
juz saya-e-KHuda kahin dar-ul-aman nahin

aalam ki haigi nirKH-e-ilahi se zindagi
tis par bhi dekhta hun ki bahuton ko nan nahin

'hatim' KHamosh lutf-e-suKHan kuchh nahin raha
bakta abas phire hai koi nukta-dan nahin

(305) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin written by Shaikh Zahuruddin Hatim at UrduPoint. Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin is one of the masterpieces written by Shaikh Zahuruddin Hatim. You can also find the complete poetry collection of Shaikh Zahuruddin Hatim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaikh Zahuruddin Hatim' above.

Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.