Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein, Urdu Ghazal By Shakeeb Ayaz

Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shakeeb Ayaz. Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھر جو لوٹے تو ملے غیر کے سامانوں میں

شکیب ایاز

گھر جو لوٹے تو ملے غیر کے سامانوں میں

پھول کچھ چھوڑ کے آئے تھے جو گل دانوں میں

وہ بھی ہجرت کے تکلف سے بری ہو نہ سکے

آئے کچھ لوگ جو کعبے سے صنم خانوں میں

ان کے چہروں کو نگاہوں سے قطع مت کیجئے

جن کی پہچان رہی آئنہ سامانوں میں

میری آمد پہ ہر اک شخص کو حیرانی ہے

وہ مجھے ڈھونڈنے نکلے تھے بیابانوں میں

ہم بھی تقسیم ہوئے آپ بھی تقسیم ہوئے

دونوں منہ ڈھانپ کے روتے ہیں گریبانوں میں

شکیب ایاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein

Shakeeb Ayaz

ghar jo lauTe to mile ghair ke samanon mein
phul kuchh chhoD ke aae the jo gul-danon mein

wo bhi hijrat ke takalluf se bari ho na sake
aae kuchh log jo kabe se sanam-KHanon mein

un ke chehron ko nigahon se qata mat kijiye
jin ki pahchan rahi aaina-samanon mein

meri aamad pe har ek shaKHs ko hairani hai
wo mujhe DhunDne nikle the bayabanon mein

hum bhi taqsim hue aap bhi taqsim hue
donon munh Dhanp ke rote hain garebanon mein

(401) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein written by Shakeeb Ayaz at UrduPoint. Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein is one of the masterpieces written by Shakeeb Ayaz. You can also find the complete poetry collection of Shakeeb Ayaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeeb Ayaz' above.

Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghar Jo LauTe To Mile Ghair Ke Samanon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.