Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin, Urdu Ghazal By Shamim Jaipuri

Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shamim Jaipuri. Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گو تہی دامن ہوں لیکن غم نہیں

شمیم جے پوری

گو تہی دامن ہوں لیکن غم نہیں

تیرے دامن کا سہارا کم نہیں

آج ہی یہ بات اے ہمدم نہیں

ایک مدت سے کوئی عالم نہیں

جز ترے دل میں کسی کا غم نہیں

تجھ سے اتنا رابطہ بھی کم نہیں

جب قدم اٹھے تو رکتے ہیں کہیں

آج منزل ہی نہیں یا ہم نہیں

آنکھ ہم آشفتہ حالوں سے ملائے

گردش دوراں میں اتنا دم نہیں

دونوں عالم بھی مخالف ہوں تو کیا

مطمئن ہوں میں کہ تو برہم نہیں

دل میں اتنی بس چکی ہے ان کی یاد

وہ بھلا بھی دیں تو کوئی غم نہیں

ہم سے پوچھو ضبط غم کی لذتیں

رونے والوں کو شعور غم نہیں

ہم سے وہ ترک تعلق کر چکے

اور پھر ان کی محبت کم نہیں

اپنے اپنے غم میں ہے ہر آدمی

آدمی کو آدمی کا غم نہیں

اہرمن اپنی جگہ ہے اہرمن

فطرت انساں بھی لیکن کم نہیں

غم ہے اس دنیا میں جان زندگی

زندگی میں غم نہ ہو تو ہم نہیں

آہ انجام غم دل اے شمیمؔ

رو رہا ہوں اور آنکھیں نم نہیں

شمیم جے پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin

Shamim Jaipuri

go tahi-daman hun lekin gham nahin
tere daman ka sahaara kam nahin

aaj hi ye baat ai hamdam nahin
ek muddat se koi aalam nahin

juz tere dil mein kisi ka gham nahin
tujh se itna rabta bhi kam nahin

jab qadam uTThe to rukte hain kahin
aaj manzil hi nahin ya hum nahin

aankh hum aashufta-haalon se milae
gardish-e-dauran mein itna dam nahin

donon aalam bhi muKHalif hon to kya
mutmain hun main ki tu barham nahin

dil mein itni bas chuki hai un ki yaad
wo bhula bhi den to koi gham nahin

hum se puchho zabt-e-gham ki lazzaten
rone walon ko shuur-e-gham nahin

hum se wo tark-e-talluq kar chuke
aur phir un ki mohabbat kam nahin

apne apne gham mein hai har aadmi
aadmi ko aadmi ka gham nahin

ahrman apni jagah hai ahrman
fitrat-e-insan bhi lekin kam nahin

gham hai is duniya mein jaan-e-zindagi
zindagi mein gham na ho to hum nahin

aah anjam-e-gham-e-dil ai 'shamim'
ro raha hun aur aankhen nam nahin

(469) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin written by Shamim Jaipuri at UrduPoint. Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin is one of the masterpieces written by Shamim Jaipuri. You can also find the complete poetry collection of Shamim Jaipuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamim Jaipuri' above.

Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Go Tahi-daman Hun Lekin Gham Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.