Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota, Urdu Ghazal By Shams Khalid

Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Khalid. Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بنا مخرج کے ہو دریا رواں ایسے نہیں ہوتا

شمس خالد

بنا مخرج کے ہو دریا رواں ایسے نہیں ہوتا

جلے آتش نہ ہو کوئی دھواں ایسے نہیں ہوتا

محبت دل کو ہو جائے گراں ایسے نہیں ہوتا

مکیں پر تنگ ہو جائے مکاں ایسے نہیں ہوتا

جنہیں کل تک میں سکھلاتا تھا ہاں ایسے نہیں ہوتا

وہی لوگ آج کہتے ہیں میاں ایسے نہیں ہوتا

سفر میں راہبر ہیں تو کئی رہزن بھی آئیں گے

ملیں دنیا میں سب ہی مہرباں ایسے نہیں ہوتا

جنہیں چاہیں وہ بدلے میں اسی طرح ہمیں چاہیں

بجا امید ہے لیکن میاں ایسے نہیں ہوتا

نہ کھولو چشم دنیا پر نگاہ دوست کے اسرار

جو باتیں راز ہوں ان کا بیاں ایسے نہیں ہوتا

یہی ہوتا تو پھر سارا جہاں ایسے نہیں ہوتا

یہاں ایسے نہیں ہوتا وہاں ایسے نہیں ہوتا

عمل رد عمل کے واسطے ہے لازمی صاحب

کوئی بھی خوش گماں یا بد گماں ایسے نہیں ہوتا

کسی سے مہر چاہو جب کہ اس سے بے رخی برتو

تمہیں معلوم ہے ناں میری جاں ایسے نہیں ہوتا

سمندر اپنی تہہ میں جیسا رکھتا ہے سکوں اے دوست

نظر باہر بھی آئے وہ سماں ایسے نہیں ہوتا

وہ ہرجائی ہے پر دل سے نکالا بھی نہیں جاتا

چمن خود سے اجاڑے باغباں ایسے نہیں ہوتا

کسی کی چاہ میں کیوں اتنے آگے بڑھ گئے ہو شمسؔ

خود اپنے آپ کو ہو اب گراں ایسے نہیں ہوتا

شمس خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota

Shams Khalid

bina maKHraj ke ho dariya rawan aise nahin hota
jale aatish na ho koi dhuan aise nahin hota

mohabbat dil ko ho jae garan aise nahin hota
makin par tang ho jae makan aise nahin hota

jinhen kal tak main sikhlata tha han aise nahin hota
wahi log aaj kahte hain miyan aise nahin hota

safar mein rahbar hain to kai rahzan bhi aaenge
milen duniya mein sab hi mehrban aise nahin hota

jinhen chahen wo badle mein isi tarah hamein chahen
baja ummid hai lekin miyan aise nahin hota

na kholo chashm-e-duniya par nigah-e-dost ke asrar
jo baaten raaz hon un ka bayan aise nahin hota

yahi hota to phir sara jahan aise nahin hota
yahan aise nahin hota wahan aise nahin hota

amal radd-e-amal ke waste hai lazmi sahib
koi bhi KHush-guman ya bad-guman aise nahin hota

kisi se mehr chaho jab ki us se be-ruKHi barto
tumhein malum hai nan meri jaan aise nahin hota

samundar apni tah mein jaisa rakhta hai sakun ai dost
nazar bahar bhi aae wo saman aise nahin hota

wo harjai hai par dil se nikala bhi nahin jata
chaman KHud se ujaDe baghban aise nahin hota

kisi ki chah mein kyon itne aage baDh gae ho 'shams'
KHud apne aap ko ho ab garan aise nahin hota

(480) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota written by Shams Khalid at UrduPoint. Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota is one of the masterpieces written by Shams Khalid. You can also find the complete poetry collection of Shams Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Khalid' above.

Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bina MaKHraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.