Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain, Urdu Ghazal By Shams Khalid

Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Khalid. Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غموں کے پھول سر شاخ مسکراتے ہیں

شمس خالد

غموں کے پھول سر شاخ مسکراتے ہیں

اداسیوں کے یہ موسم کہاں سے آتے ہیں

بچھڑنے والوں کو الزام کیوں دیا جائے

دلوں کا کیا ہے بنا بات ٹوٹ جاتے ہیں

ترا خیال جو بدلا جنوں میں ہوش آیا

یہ راستے تو کہیں اور لے کے جاتے ہیں

پھر ایک شام ترے سنگ خود کو بھول آئے

سنانے والے کئی داستاں سناتے ہیں

کوئی تو ساتھ چلے منزلوں کا سکھ دیکھے

یہاں تو بیچ میں ہی لوگ چھوڑ جاتے ہیں

یہ کیسے خوف ہمارے دلوں سے چمٹے ہیں

یہ کیسے دل ہیں جنہیں واہمے ستاتے ہیں

ڈھلے ہیں قالب ایذا میں اس طرح ہم لوگ

اب اپنے خود کے ہی زخموں سے حظ اٹھاتے ہیں

برس کے یاد کے بادل ہمیں جلاتے ہیں

یہ کیسی آگ ہے کیسے اسے بجھاتے ہیں

ہیں وہ بھی لوگ جہاں میں کسی کا دکھ ہو کہ ساتھ

جو عمر بھر کا گھڑی بھر میں بھول جاتے ہیں

وہ جن کو ہم نظر انداز کرتے جاتے ہیں

پھر ایک دن انہیں موجود دل میں پاتے ہیں

کوئی بتائے کہ جب ساتھ ہو نیا چہرہ

پرانے چہرے سے کیسے نظر ملاتے ہیں

بھرے ہیں ایسے نظر میں ترے نقوش کے رنگ

کوئی بھی چہرہ ہو ہم تم کو ڈھونڈ لاتے ہیں

حصار شام میں کچھ اجنبی سے سائے ہیں شمسؔ

خموشیوں کے نگر میں ہمیں بلاتے ہیں

شمس خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain

Shams Khalid

ghamon ke phul sar-e-shaKH muskuraate hain
udasiyon ke ye mausam kahan se aate hain

bichhaDne walon ko ilzam kyon diya jae
dilon ka kya hai bina baat TuT jate hain

tera KHayal jo badla junun mein hosh aaya
ye raste to kahin aur le ke jate hain

phir ek sham tere sang KHud ko bhul aae
sunane wale kai dastan sunate hain

koi to sath chale manzilon ka sukh dekhe
yahan to bich mein hi log chhoD jate hain

ye kaise KHauf hamare dilon se chimTe hain
ye kaise dil hain jinhen wahime satate hain

Dhale hain qalib-e-iza mein is tarah hum log
ab apne KHud ke hi zaKHmon se haz uThate hain

baras ke yaad ke baadal hamein jalate hain
ye kaisi aag hai kaise ise bujhate hain

hain wo bhi log jahan mein kisi ka dukh ho ki sath
jo umr bhar ka ghaDi bhar mein bhul jate hain

wo jin ko hum nazar-andaz karte jate hain
phir ek din unhen maujud dil mein pate hain

koi batae ki jab sath ho naya chehra
purane chehre se kaise nazar milate hain

bhare hain aise nazar mein tere nuqush ke rang
koi bhi chehra ho hum tum ko DhunD late hain

hisar-e-sham mein kuchh ajnabi se sae hain 'shams'
KHamoshiyon ke nagar mein hamein bulate hain

(464) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain written by Shams Khalid at UrduPoint. Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain is one of the masterpieces written by Shams Khalid. You can also find the complete poetry collection of Shams Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Khalid' above.

Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghamon Ke Phul Sar-e-shaKH Muskuraate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.