Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai, Urdu Ghazal By Shams Khalid
Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Khalid. Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai on this page of UrduPoint.
جس کی جو ہے طلب تماشہ ہے
شمس خالد
جس کی جو ہے طلب تماشہ ہے
یہ بھی کتنا عجب تماشہ ہے
آنکھ ایمان لائی منظر پر
دل یہ کہتا ہے سب تماشہ ہے
میں نے دنیا کے رنگ دیکھے ہیں
میرے آگے یہ سب تماشہ ہے
دیکھتے ہیں جو ہم کسی کی طرف
دیکھنے کا سبب تماشہ ہے
وہ بھی دکھلائے جو کہ ہے ہی نہیں
تیری دنیا عجب تماشہ ہے
لا مکاں سے یہ دہر تک کا سفر
تب تماشہ تھا اب تماشہ ہے
جو تھا جینا عدن میں جی آئے
زندگی کیا ہے اب تماشا ہے
باب عالم میں کن کہا پہلے
پھر کہا زیر لب تماشا ہے
کیوں سر طور دیکھنے جائیں
تیرے جیسا وہ کب تماشا ہے
کیوں نہ آخر ہوں تجھ سے داد طلب
ہم کو کرنا ہی جب تماشہ ہے
سوچئے تو تماشۂ ہستی
کس قدر بے سبب تماشہ ہے
ماسوا دید جس میں تو ہو فقط
باقی جو کچھ ہے سب تماشہ ہے
پردہ داری سے کام کیا لیجے
شمسؔ ہونا ہی جب تماشہ ہے
شمس خالد
© UrduPoint.com
All Rights Reserved
Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai
Shams Khalid
ye bhi kitna ajab tamasha hai
aankh iman lai manzar par
dil ye kahta hai sab tamasha hai
main ne duniya ke rang dekhe hain
mere aage ye sab tamasha hai
dekhte hain jo hum kisi ki taraf
dekhne ka sabab tamasha hai
wo bhi dikhlae jo ki hai hi nahin
teri duniya ajab tamasha hai
la-makan se ye dahr tak ka safar
tab tamasha tha ab tamasha hai
jo tha jina adan mein ji aae
zindagi kya hai ab tamasha hai
bab-e-alam mein kun kaha pahle
phir kaha zer-e-lab tamasha hai
kyon sar-e-tur dekhne jaen
tere jaisa wo kab tamasha hai
kyon na aaKHir hon tujh se dad-talab
hum ko karna hi jab tamasha hai
sochiye to tamasha-e-hasti
kis qadar be-sabab tamasha hai
ma-siwa did jis mein tu ho faqat
baqi jo kuchh hai sab tamasha hai
parda-dari se kaam kya lije
'shams' hona hi jab tamasha hai
(389) ووٹ وصول ہوئے
Related Shams Khalid Poetry
More Shams Khalid Poetry
غموں کے پھول سر شاخ مسکراتے ہیں
Shams Khalid - شمس خالد
Ghamon Ke Phul Sar-e-shakh Muskuraate Hain

گلشن بے بہار ہیں ہم لوگ
Shams Khalid - شمس خالد
Gulshan-e-be-bahaar Hain Hum Log

شہر بدری کے دن گزر جاتے
Shams Khalid - شمس خالد
Shahr-badari Ke Din Guzar Jate

بنا مخرج کے ہو دریا رواں ایسے نہیں ہوتا
Shams Khalid - شمس خالد
Bina Makhraj Ke Ho Dariya Rawan Aise Nahin Hota

جس کی جو ہے طلب تماشہ ہے
Shams Khalid - شمس خالد
Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai

You can read Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai written by Shams Khalid at UrduPoint. Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai is one of the masterpieces written by Shams Khalid. You can also find the complete poetry collection of Shams Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Khalid' above.
Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ki Jo Hai Talab Tamasha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.
You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.