Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ظاہراً یہ بت تو ہیں نازک گل تر کی طرح

شوق بہرائچی

ظاہراً یہ بت تو ہیں نازک گل تر کی طرح

دل مگر ہوتا ہے کم بختوں کا پتھر کی طرح

جلوہ گاہ ناز میں دیکھ آئے ہیں سو بار ہم

رنگ روئے یار ہے بالکل چقندر کی طرح

مونس تنہائی جب ہوتا نہیں ہے ہم خیال

گھر میں بھی جھنجھٹ ہوا کرتا ہے باہر کی طرح

آپ بے حد نیک طینت نیک سیرت نیک خو

حرکتیں کرتے ہیں لیکن آپ بندر کی طرح

جس کے حامی ہو گئے واعظ وہ بازی لے گیا

اہمیت ہے آپ کی دنیا میں جوکر کی طرح

اللہ اللہ یہ ستم گر کی قیامت خیز چال

روز ہنگامہ ہوا کرتا ہے محشر کی طرح

پوچھنے والے غم جاناں کی شیرینی نہ پوچھ

غم کے مارے روز اڑاتے ہیں مزعفر کی طرح

زیب تن واعظ کے دیکھی ہے قبائے زرنگار

سر پہ عمامہ ہے اک دھوبی کے گٹھر کی طرح

دوست کے ایفائے وعدہ کا ہے اب تک انتظار

گزرا اکتوبر نومبر بھی ستمبر کی طرح

ناز میں انداز میں رفتار میں گفتار میں

اردلی بھی ہیں کلکٹر کے کلکٹر کی طرح

نشہ بندی چاہتے تو ہیں یہ حامی دین کے

پھر بھی مل جائے تو پی لیں شیر مادر کی طرح

ہو رہا ہے جس قدر بھی شوقؔ صاحب انسداد

اتنی ہی کٹتی ہے رشوت مولی گاجر کی طرح

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah

Shauq Bahraichi

zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah
dil magar hota hai kam-baKHton ka patthar ki tarah

jalwa-gah-e-naz mein dekh aae hain sau bar hum
rang-e-ru-e-yar hai bilkul chuqandar ki tarah

munis-e-tanhai jab hota nahin hai ham-KHayal
ghar mein bhi jhanjhaT hua karta hai bahar ki tarah

aap behad nek-tinat nek-sirat nek-KHu
harkaten karte hain lekin aap bandar ki tarah

jis ke hami ho gae waiz wo bazi le gaya
ahmiyat hai aap ki duniya mein joker ki tarah

allah allah ye sitam-gar ki qayamat-KHez chaal
roz hangama hua karta hai mahshar ki tarah

puchhne wale gham-e-jaanan ki shirini na puchh
gham ke mare roz uDate hain muzafar ki tarah

zeb-e-tan waiz ke dekhi hai qaba-e-zar-nigar
sar pe amama hai ek dhobi ke gaTThar ki tarah

dost ke ifa-e-wada ka hai ab tak intizar
guzra october nowember bhi september ki tarah

naz mein andaz mein raftar mein guftar mein
ardali bhi hain collector ke collector ki tarah

nashsha-bandi chahte to hain ye hami din ke
phir bhi mil jae to pi len shir-e-madar ki tarah

ho raha hai jis qadar bhi 'shauq'-sahab insidad
utni hi kaTti hai rishwat muli gajar ki tarah

(456) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zahiran Ye But To Hain Nazuk Gul-e-tar Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.