Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai, Urdu Ghazal By Shaz Malik

Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaz Malik. Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ سچ ہے روح کے اندر عقیدت سانس لیتی ہے

شاذ ملک

یہ سچ ہے روح کے اندر عقیدت سانس لیتی ہے

تبھی تحریر میں میری شہامت سانس لیتی ہے

کوئی ناراض ہو جائے تو اکثر سوچتی ہوں میں

بشر کے دل میں جانے کیوں عداوت سانس لیتی ہے

شجر ہوں یا حجر ہوں یا گلوں کے رنگ ہوں صاحب

ہواؤں میں فضاؤں میں یہ قدرت سانس لیتی ہے

ذرا خوشیاں وہاں بھی بانٹ کر تم دیکھنا لوگو

اندھیروں میں جہاں گھنگھور غربت سانس لیتی ہے

سنو گر جستجو منزل کی ہے تو جان لینا تم

سفر کے راستوں میں ہی مسافت سانس لیتی ہے

تری خاموشیاں صاحب بڑی ہی جان لیوا ہیں

ترے ہونے سے ہی مجھ میں محبت سانس لیتی ہے

انا کے بت کو ٹھوکر مارنا ہی کامیابی ہے

انا کے بت میں ہی سچ ہے خباثت سانس لیتی ہے

اگر مطلب پرستی دل میں گھر کر لے تو پھر یارو

دلوں کے درمیاں بس یہ تجارت سانس لیتی ہے

پڑھے گی دل سے جب دنیا تجھے اے شاذؔ تو سن لے

سمجھ جائے گی تجھ میں کیوں ملاحت سانس لیتی ہے

شاذ ملک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai

Shaz Malik

ye sach hai ruh ke andar aqidat sans leti hai
tabhi tahrir mein meri shahamat sans leti hai

koi naraaz ho jae to aksar sochti hun main
bashar ke dil mein jaane kyon adawat sans leti hai

shajar hon ya hajar hon ya gulon ke rang hon sahib
hawaon mein fazaon mein ye qudrat sans leti hai

zara KHushiyan wahan bhi banT kar tum dekhna logo
andheron mein jahan ghanghor ghurbat sans leti hai

suno gar justuju manzil ki hai to jaan lena tum
safar ke raston mein hi masafat sans leti hai

teri KHamoshiyan sahib baDi hi jaan-lewa hain
tere hone se hi mujh mein mohabbat sans leti hai

ana ke but ko Thokar marna hi kaamyabi hai
ana ke but mein hi sach hai KHabasat sans leti hai

agar matlab-parasti dil mein ghar kar le to phir yaro
dilon ke darmiyan bas ye tijarat sans leti hai

paDhegi dil se jab duniya tujhe ai 'shaz' to sun le
samajh jaegi tujh mein kyon malahat sans leti hai

(520) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai written by Shaz Malik at UrduPoint. Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai is one of the masterpieces written by Shaz Malik. You can also find the complete poetry collection of Shaz Malik by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaz Malik' above.

Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Sach Hai Ruh Ke Andar Aqidat Sans Leti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.