Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua, Urdu Ghazal By Sher Singh Naaz Dehlvi

Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sher Singh Naaz Dehlvi. Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قلزم الفت میں وہ طوفان کا عالم ہوا

شیر سنگھ ناز دہلوی

قلزم الفت میں وہ طوفان کا عالم ہوا

جو سفینہ دل کا تھا درہم ہوا برہم ہوا

تھامنا مشکل دل مضطر کو شام غم ہوا

یاد آتے ہی کسی کی حشر کا عالم ہوا

کیا بتائیں کس طرح گزری شب وعدہ مری

منتظر آنکھیں رہیں دل کا عجب عالم ہوا

دیکھتے رہتے ہیں اس میں سارے عالم کا ظہور

آئینہ دل کا ہمارے رشک جام جم ہوا

وہ عدو کو ساتھ لائے ہیں مرے گھر دیکھیے

شربت دیدار کے نسخے میں داخل سم ہوا

آپ کے تیر نظر سے دل کا بچنا ہے محال

جس کو دیکھا آنکھ بھر کر بس وہی ہم دم ہوا

کس قدر تسکین رنجور محبت کو ہوئی

پیار سے دیکھا جو اس نے زخم کو مرہم ہوا

جب اٹھایا یار نے روئے منور سے نقاب

گر پڑا غش کھا کے کوئی اور کوئی بے دم ہوا

گلشن ہستی میں انساں کی نہیں کچھ زندگی

جو ہوا پیدا مثال قطرۂ شبنم ہوا

گیسوئے پر خم ہوئے ان کے پریشاں سوگ میں

میرے مرنے سے دیار حسن میں ماتم ہوا

بعد مرنے کے ہوا دنیا میں یوں مشہور نازؔ

شان سے تابوت اٹھا دھوم کا ماتم ہوا

شیر سنگھ ناز دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua

Sher Singh Naaz Dehlvi

qulzum-e-ulfat mein wo tufan ka aalam hua
jo safina dil ka tha darham hua barham hua

thamna mushkil dil-e-muztar ko sham-e-gham hua
yaad aate hi kisi ki hashr ka aalam hua

kya bataen kis tarah guzri shab-e-wada meri
muntazir aankhen rahin dil ka ajab aalam hua

dekhte rahte hain is mein sare aalam ka zuhur
aaina dil ka hamare rashk-e-jam-e-jam hua

wo adu ko sath lae hain mere ghar dekhiye
sharbat-e-didar ke nusKHe mein daKHil sam hua

aap ke tir-e-nazar se dil ka bachna hai muhaal
jis ko dekha aankh bhar kar bas wahi hamdam hua

kis qadar taskin ranjur-e-mohabbat ko hui
pyar se dekha jo us ne zaKHm ko marham hua

jab uThaya yar ne ru-e-munawwar se naqab
gir paDa ghash kha ke koi aur koi be-dam hua

gulshan-e-hasti mein insan ki nahin kuchh zindagi
jo hua paida misal-e-qatra-e-shabnam hua

gesu-e-pur-KHam hue un ke pareshan sog mein
mere marne se dayar-e-husn mein matam hua

baad marne ke hua duniya mein yun mashhur 'naz'
shan se tabut uTTha dhum ka matam hua

(526) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua written by Sher Singh Naaz Dehlvi at UrduPoint. Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua is one of the masterpieces written by Sher Singh Naaz Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Sher Singh Naaz Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sher Singh Naaz Dehlvi' above.

Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qulzum-e-ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.