Aaghaz Se Anjam Tak, Urdu Nazam By Sikandar Irfan

Aaghaz Se Anjam Tak is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sikandar Irfan. Aaghaz Se Anjam Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aaghaz Se Anjam Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آغاز سے انجام تک

سکندر عرفان

ان دنوں میری زندگی

ایک ویرانہ تھی

جس میں تم نے پیار کے بے شمار گل کھلائے تھے

رفتہ رفتہ یہ ویرانہ

گلشن بن کر مہکنے لگا

ہر طرف شگفتہ تمناؤں کے پھول بکھرے تھے

کتنا نازاں تھا میں اپنے نصیب پر کہ

میری راہوں میں تمناؤں کے پھول ہیں مہکتی کلیاں ہیں

دامن میں سوغات ہے تمہارے پیار کی

مگر آج معلوم ہوا امید کا انجام

پھول کھل کر پژمردہ ضرور ہوتے ہیں

اور اب ان دنوں بھی

میری زندگی ایک ویرانہ ہے

یاس و حسرت کا موسم بکھرا پڑا ہے

تمناؤں کے لاشے بکھرے ہوئے ہیں

میرا دامن آنسوؤں سے پر ہے

میرے جذبے لہولہان ہیں

آغاز سے لے کر انجام تک

میرا تصور

دھواں دھواں ہے

سکندر عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaghaz Se Anjam Tak

Sikandar Irfan

in dinon meri zindagi
ek virana thi
jis mein tum ne pyar ke be-shumar gul khilae the
rafta rafta ye virana
gulshan ban kar mahakne laga
har taraf shagufta tamannaon ke phul bikhre the
kitna nazan tha main apne nasib par ki
meri rahon mein tamannaon ke phul hain mahakti kaliyan hain
daman mein saughat hai tumhaare pyar ki
magar aaj malum hua ummid ka anjam
phul khil kar pazhmurda zarur hote hain
aur ab in dinon bhi
meri zindagi ek virana hai
yas-o-hasrat ka mausam bikhra paDa hai
tamannaon ke lashe bikhre hue hain
mera daman aansuon se pur hai
mere jazbe lahuluhan hain
aaghaz se le kar anjam tak
mera tasawwur
dhuan dhuan hai

(392) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaghaz Se Anjam Tak written by Sikandar Irfan at UrduPoint. Aaghaz Se Anjam Tak is one of the masterpieces written by Sikandar Irfan. You can also find the complete poetry collection of Sikandar Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sikandar Irfan' above.

Aaghaz Se Anjam Tak is a widely read Urdu Nazam. If you like Aaghaz Se Anjam Tak, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.