Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin, Urdu Ghazal By Sirajuddin Siraj

Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sirajuddin Siraj. Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمیں میں رونقیں جتنی ہیں آسماں میں نہیں

سراج الدین سراج

زمیں میں رونقیں جتنی ہیں آسماں میں نہیں

یقین میں جو اجالا ہے وہ گماں میں نہیں

قبول عام کا درجہ بیاں کو مل جاتا

ادائے حسن تعلق مری زباں میں نہیں

بہ ہر اصول قفس ہی کی ایک صورت ہے

اگر سکوں کا تصور ہی آشیاں میں نہیں

ذرا نظر سے حجاب نظر تو اٹھنے دو

اسی مکاں میں ملیں گے وہ جس مکاں میں نہیں

وہ میرے راز چھپائے گا ہر طریقے سے

ابھی خلوص کا احساس ترجماں میں نہیں

اب ان سے رابطہ قائم رہے تو کیسے رہے

کوئی نباہ کی صورت ہی درمیاں میں نہیں

کسے بتاؤں کہ سر پر غموں کا سورج ہے

یہ وقت وہ ہے کہ سایہ بھی سائباں میں نہیں

کسی کا گھر ہو وہاں سے گریز بہتر ہے

جہاں شعور مدارات میزباں میں نہیں

چمن کا درد اسے کس طرح سے ہوگا سراجؔ

کہ جب وطن کی محبت ہی پاسباں میں نہیں

سراج الدین سراج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin

Sirajuddin Siraj

zamin mein raunaqen jitni hain aasman mein nahin
yaqin mein jo ujala hai wo guman mein nahin

qubul-e-am ka darja bayan ko mil jata
ada-e-husn-e-ta’alluq meri zaban mein nahin

ba-har usul qafas hi ki ek surat hai
agar sukun ka tasawwur hi aashiyan mein nahin

zara nazar se hijab-e-nazar to uThne do
usi makan mein milenge wo jis makan mein nahin

wo mere raaz chhupaega har tariqe se
abhi KHulus ka ehsas tarjuman mein nahin

ab un se rabta qaem rahe to kaise rahe
koi nibah ki surat hi darmiyan mein nahin

kise bataun ki sar par ghamon ka suraj hai
ye waqt wo hai ki saya bhi saeban mein nahin

kisi ka ghar ho wahan se gurez behtar hai
jahan shuur-e-mudaraat mezban mein nahin

chaman ka dard use kis tarah se hoga 'siraj'
ki jab watan ki mohabbat hi pasban mein nahin

(327) ووٹ وصول ہوئے

You can read Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin written by Sirajuddin Siraj at UrduPoint. Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin is one of the masterpieces written by Sirajuddin Siraj. You can also find the complete poetry collection of Sirajuddin Siraj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sirajuddin Siraj' above.

Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zamin Mein Raunaqen Jitni Hain Aasman Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.