Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai, Urdu Ghazal By Syed Abid Ali Abid

Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Abid Ali Abid. Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو بھی منجملۂ آشفتہ سرا ہوتا ہے

سید عابد علی عابد

جو بھی منجملۂ آشفتہ سرا ہوتا ہے

زینت محفل صاحب نظراں ہوتا ہے

یہی دل جس کو شکایت ہے گراں جانی کی

یہی دل کار گہ شیشہ گراں ہوتا ہے

شاخ گلزار کے سائے میں کہاں دم لیجے

کہ یہاں خون کا سیل گزراں ہوتا ہے

کس کو دکھلائیے اپنوں کی ملامت کا سماں

کہ یہ اسلوب حدیث دگراں ہوتا ہے

کس کو بتلائیے وہ رابطۂ ناز و نیاز

ان کی محفل میں جو اے دیدہ وراں ہوتا ہے

کبھی کرتی ہے تجلی نگرانی دل کی

کبھی دل سوئے تجلی نگراں ہوتا ہے

مجھ پہ ہوتے ہیں غم دل کے صحیفے نازل

جن میں افسانۂ عالی گہراں ہوتا ہے

دل بھی دیتا ہے مجھے مشورۂ ترک وفا

کچھ تقاضائے جہان گزراں ہوتا ہے

میں تو ہوں شیفتۂ رنگ تغزل عابدؔ

کہ یہی شاہد خونیں جگراں ہوتا ہے

سید عابد علی عابد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai

Syed Abid Ali Abid

jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai
zinat-e-mahfil-e-sahab-nazran hota hai

yahi dil jis ko shikayat hai giran-jaani ki
yahi dil kar-gah-e-shisha-giran hota hai

shaKH-e-gulzar ke sae mein kahan dam lije
ki yahan KHun ka sail-e-guzaran hota hai

kis ko dikhlaiye apnon ki malamat ka saman
ki ye uslub hadis-e-digran hota hai

kis ko batlaiye wo rabta-e-naz-o-niyaz
un ki mahfil mein jo ai dida-waran hota hai

kabhi karti hai tajalli nigarani dil ki
kabhi dil su-e-tajalli-nigaran hota hai

mujh pe hote hain gham-e-dil ke sahife nazil
jin mein afsana-e-ali-guharan hota hai

dil bhi deta hai mujhe mashwara-e-tark-e-wafa
kuchh taqaza-e-jahan-e-guzaran hota hai

main to hun shefta-e-rang-e-taghazzul 'abid'
ki yahi shahid-e-KHunin-jigraan hota hai

(421) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai written by Syed Abid Ali Abid at UrduPoint. Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai is one of the masterpieces written by Syed Abid Ali Abid. You can also find the complete poetry collection of Syed Abid Ali Abid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Abid Ali Abid' above.

Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Bhi Minjumla-e-ashufta Sara Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.