Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai, Urdu Ghazal By Syed Jafar Amir

Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Jafar Amir. Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

طول شب سامنے اک ہجر کی تنہائی ہے

سید جعفر امیر

طول شب سامنے اک ہجر کی تنہائی ہے

دل کے بہلانے کو یادوں کی مسیحائی ہے

دل ہے لبریز شکایت سے مگر کیا کیجے

پائے آداب میں زنجیر شکیبائی ہے

ان کے وعدہ پہ ذرا میں جو یقیں کرنے لگا

بولے گھبرا کے قسم ہم نے نہیں کھائی ہے

زندگی بھر مجھے آنسو تھے رلائے جس نے

چشم تر لے کے وہ تربت پہ مرے آئی ہے

ایک شاعر کے تصور سے کہاں چھپتا ہے

بند آنکھوں میں چھلکتی تری پرچھائی ہے

رک سی جاتی ہے گھٹا کر کے ترشح کچھ دم

کس تذبذب میں ہے کیوں آ کے یہاں چھائی ہے

کتنی امیدوں سے آغاز سفر کرتے ہیں

زندگی کیا ہے فقط فاصلہ پیمائی ہے

ہم نے سیکھا ہے یہ نیرنگ زمانہ سے امیرؔ

نہ مسیحا ہے یہاں اور نہ مسیحائی ہے

سید جعفر امیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai

Syed Jafar Amir

tul-e-shab samne ek hijr ki tanhai hai
dil ke bahlane ko yaadon ki masihai hai

dil hai labrez shikayat se magar kya kije
pa-e-adab mein zanjir-e-shakebai hai

un ke wada pe zara main jo yaqin karne laga
bole ghabra ke qasam hum ne nahin khai hai

zindagi bhar mujhe aansu the rulae jis ne
chashm-e-tar le ke wo turbat pe mere aai hai

ek shair ke tasawwur se kahan chhupta hai
band aankhon mein chhalakti teri parchhai hai

ruk si jati hai ghaTa kar ke tarashshoh kuchh dam
kis tazabzub mein hai kyon aa ke yahan chhai hai

kitni ummidon se aaghaz-e-safar karte hain
zindagi kya hai faqat fasla-paimai hai

hum ne sikha hai ye nairang-e-zamana se 'amir'
na masiha hai yahan aur na masihai hai

(556) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai written by Syed Jafar Amir at UrduPoint. Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai is one of the masterpieces written by Syed Jafar Amir. You can also find the complete poetry collection of Syed Jafar Amir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Jafar Amir' above.

Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tul-e-shab Samne Ek Hijr Ki Tanhai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.