Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha, Urdu Ghazal By Syed Muneer

Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Muneer. Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر پہ بیٹھ گیا جو غبار کس کا تھا

سید منیر

نظر پہ بیٹھ گیا جو غبار کس کا تھا

دلوں سے کم نہ ہوا جو شرار کس کا تھا

نہ کوئی شکل تھی دل میں نہ لب پہ نام کوئی

تمام عمر مجھے انتظار کس کا تھا

مرے لئے تو وہ ٹھہرا نہ ایک پل بھر کو

نہ جانے قافلۂ نوبہار کس کا تھا

یہ کس کے حسن سے یادوں کی بن گئی تصویر

دل آئنہ پہ سنہرا غبار کس کا تھا

پڑے رہیں گے اسی سوچ میں قیامت تک

ہمارے بعد دل بے قرار کس کا تھا

خیال و خواب کی راتوں سے جو ابھرتا ہے

وہ ایک نور بدن کا نکھار کس کا تھا

وہ ادھ کھلا سا دریچہ وہ چاہ کی خوشبو

مرا نہیں تھا تو پھر انتظار کس کا تھا

یہ کس نے شور سلاسل کو نغمگی دے ہی

رہ وفا میں قدم بار بار کس کا تھا

تمہارے جبر کی تائید تھا مرا منشا

سمجھ میں آ نہ سکا اختیار کس کا تھا

یہ کس لئے سوئے گل بھی نگاہ جاتی تھی

تم آ چکے تھے تو پھر انتظار کس کا تھا

مری وفا کا بگولہ تو ایک تھا لیکن

مرے سوا سر صحرا غبار کس کا تھا

بہت دنوں سے یہی اک سوال ہے دل میں

جو میں نے سب کو دیا تھا وہ پیار کس کا تھا

منیرؔ جب بھی چلے کوئی راستہ نہ ملا

وجود راہ گزر اعتبار کس کا تھا

سید منیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha

Syed Muneer

nazar pe baiTh gaya jo ghubar kis ka tha
dilon se kam na hua jo sharar kis ka tha

na koi shakl thi dil mein na lab pe nam koi
tamam umr mujhe intizar kis ka tha

mere liye to wo Thahra na ek pal-bhar ko
na jaane qafila-e-nau-bahaar kis ka tha

ye kis ke husn se yaadon ki ban gai taswir
dil-aine pe sunahra ghubar kis ka tha

paDe rahenge isi soch mein qayamat tak
hamare baad dil-e-be-qarar kis ka tha

KHayal-o-KHwab ki raaton se jo ubharta hai
wo ek nur badan ka nikhaar kis ka tha

wo adh-khula sa daricha wo chah ki KHushbu
mera nahin tha to phir intizar kis ka tha

ye kis ne shor-e-salasil ko naghmagi de hi
rah-e-wafa mein qadam bar bar kis ka tha

tumhaare jabr ki taid tha mera mansha
samajh mein aa na saka iKHtiyar kis ka tha

ye kis liye su-e-gul bhi nigah jati thi
tum aa chuke the to phir intizar kis ka tha

meri wafa ka bagula to ek tha lekin
mere siwa sar-e-sahra ghubar kis ka tha

bahut dinon se yahi ek sawal hai dil mein
jo main ne sab ko diya tha wo pyar kis ka tha

'munir' jab bhi chale koi rasta na mila
wajud-e-rahguzar eatibar kis ka tha

(264) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha written by Syed Muneer at UrduPoint. Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha is one of the masterpieces written by Syed Muneer. You can also find the complete poetry collection of Syed Muneer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Muneer' above.

Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Pe BaiTh Gaya Jo Ghubar Kis Ka Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.