Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein, Urdu Ghazal By Syed Shiban Qadri

Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Shiban Qadri. Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

برا نہ مان کہا ہے یہ میں نے وحشت میں

سید شیبان قادری

برا نہ مان کہا ہے یہ میں نے وحشت میں

مرے سلیقہ سے میری نبھی محبت میں

نہیں ہے اس کے سوا کچھ مری حکایت میں

خوشی کے حرف لکھے میں نے غم کی حالت میں

یہ جان کر ہوا مشغول میں تلاوت میں

بہت ہے فائدہ خوشبوؤں کی تجارت میں

تو ہی بتا کہ میں خود کو کہاں تلاش کروں

بچھڑ گیا ہوں میں خود سے تری محبت میں

بہت ضروری ہے خود سے مکالمہ کرنا

زیادہ لطف جب آنے لگے عبادت میں

ہزار خواہشیں پا لیں ہزار خواب بنے

ملا وہی جو لکھا تھا ہماری قسمت میں

زوال کہنا پڑے گا اسے بھی قدروں کا

فریب کھاتا نہیں اب کوئی مروت میں

وہ شخص جو ترے دکھ درد اوڑھے پھرتا تھا

اسی کا ذکر نہیں ہے تری مسرت میں

چٹختی کیسے نہ اس کے مکان کی بنیاد

نقب لگائی تھی اس نے پڑوس کی چھت میں

کبھی فراق کی گھڑیاں کبھی وصال کے پل

ہمیشہ رہتی نہیں زیست ایک حالت میں

علاج جس کا کسی سے نہ ہو سکا شیبانؔ

کچھ ایسا درد ہے پنہا ہماری ہجرت میں

سید شیبان قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein

Syed Shiban Qadri

bura na man kaha hai ye main ne wahshat mein
mere saliqe se meri nibhi mohabbat mein

nahin hai is ke siwa kuchh meri hikayat mein
KHushi ke harf likhe main ne gham ki haalat mein

ye jaan kar hua mashghul main tilawat mein
bahut hai faeda KHushbuon ki tijarat mein

tu hi bata ki main KHud ko kahan talash karun
bichhaD gaya hun main KHud se teri mohabbat mein

bahut zaruri hai KHud se mukalima karna
ziyaada lutf jab aane lage ibaadat mein

hazar KHwahishen pa len hazar KHwab bune
mila wahi jo likha tha hamari qismat mein

zawal kahna paDega use bhi qadron ka
fareb khata nahin ab koi murawwat mein

wo shaKHs jo tere dukh dard oDhe phirta tha
usi ka zikr nahin hai teri masarrat mein

chaTaKHti kaise na us ke makan ki buniyaad
naqab lagai thi us ne paDos ki chhat mein

kabhi firaq ki ghaDiyan kabhi visal ke pal
hamesha rahti nahin zist ek haalat mein

ilaj jis ka kisi se na ho saka 'shiban'
kuchh aisa dard hai pinha hamari hijrat mein

(458) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein written by Syed Shiban Qadri at UrduPoint. Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein is one of the masterpieces written by Syed Shiban Qadri. You can also find the complete poetry collection of Syed Shiban Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Shiban Qadri' above.

Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bura Na Man Kaha Hai Ye Maine Wahshat Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.