Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad, Urdu Ghazal By Syed Shiban Qadri

Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Shiban Qadri. Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ ستم بھی خوب ٹھہرا لطف فرمانے کے بعد

سید شیبان قادری

یہ ستم بھی خوب ٹھہرا لطف فرمانے کے بعد

جلد جانے کا تقاضا دیر سے آنے کے بعد

اک قلندر سو گیا ہم کو یہ سمجھانے کے بعد

عمر کا شکوہ نہ کرنا عمر ڈھل جانے کے بعد

آج بھی اس گل بدن کو ڈھونڈھتا پھرتا ہوں میں

ہو گیا رخصت جو میرے دل کو مہکانے کے بعد

داستان دل سبھی کی ملتی جلتی ہے یہاں

چھیڑ مت اپنی کہانی اس کے افسانے کے بعد

عشق کے صحرا میں ہیں ساری بہاریں قیس سے

کوئی دیوانہ نہ دیکھا ایسے دیوانے کے بعد

اتنا آساں بھی نہیں ہے اے قلم کے رستمو

صبح کا افسانہ لکھنا شب کے افسانے کے بعد

عمر ساری کاٹ دی آوارہ گردی میں یوں ہی

لوٹ کر آیا نہ میں گھر سے نکل جانے کے بعد

پے بہ پے اس کو پلاتا ہوں مئے عشق وفا

ہوش میں آتا ہے وہ مدہوش ہو جانے کے بعد

اپنا خون دل جو بھر دیتے ہیں نقش وقت میں

زندہ رہتے ہیں وہی کردار مر جانے کے بعد

جھوٹ اوڑھے بھیڑ میں تم رہتے آخر کب تلک

ہو گئے تنہا بلا سے سچ کو اپنانے کے بعد

آج کا شاعر بھی اے شیبانؔ تاجر ہو گیا

جیب بھر کر جا رہا ہے اک غزل گانے کے بعد

سید شیبان قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad

Syed Shiban Qadri

ye sitam bhi KHub Thahra lutf farmane ke baad
jald jaane ka taqaza der se aane ke baad

ek qalandar so gaya hum ko ye samjhane ke baad
umr ka shikwa na karna umr Dhal jaane ke baad

aaj bhi is gul-badan ko DhunDhta phirta hun main
ho gaya ruKHsat jo mere dil ko mahkane ke baad

dastan-e-dil sabhi ki milti julti hai yahan
chheD mat apni kahani us ke afsane ke baad

ishq ke sahra mein hain sari bahaaren qais se
koi diwana na dekha aise diwane ke baad

itna aasan bhi nahin hai ai qalam ke rustamo
subh ka afsana likhna shab ke afsane ke baad

umr sari kaT di aawaragardi mein yunhi
lauT kar aaya na main ghar se nikal jaane ke baad

pai-ba-pai us ko pilata hun mai-e-ishq-e-wafa
hosh mein aata hai wo madhosh ho jaane ke baad

apna KHun-e-dil jo bhar dete hain naqsh-e-waqt mein
zinda rahte hain wahi kirdar mar jaane ke baad

jhuT oDhe bhiD mein tum rahte aaKHir kab talak
ho gae tanha bala se sach ko apnane ke baad

aaj ka shair bhi ai 'shiban' tajir ho gaya
jeb bhar kar ja raha hai ek ghazal gane ke baad

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad written by Syed Shiban Qadri at UrduPoint. Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad is one of the masterpieces written by Syed Shiban Qadri. You can also find the complete poetry collection of Syed Shiban Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Shiban Qadri' above.

Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Sitam Bhi KHub Thahra Lutf Farmane Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.