Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada, Urdu Ghazal By Talat Zahra

Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Zahra. Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حق کی تلاش میں ہی بھٹکتی رہی سدا

طلعت زہرا

حق کی تلاش میں ہی بھٹکتی رہی سدا

کھوئی رہی ہے عشق میں منزل مری سدا

سیکھا سبق جو میں نے تو ازبر نہیں کیا

پاتی رہی سزا میں اسی بات کی سدا

تلخی گئے دنوں کی مرے ساتھ ہی رہی

وہ الٹی پڑ گئی جو دعا میں نے کی سدا

کچھ اور دھنس گئی اسے کھینچا اگر کبھی

کشتی پہن کے ریت ہی سوئی رہی سدا

میں اپنی کھوج میں رہی لیکن کچھ اس طرح

تیرا ہی ذکر غزلوں میں کرتی رہی سدا

زہراؔ معاف کر بھی دے اک دن اگر کبھی

تو بھی سزا ملے گی اسے اب وہی سدا

طلعت زہرا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada

Talat Zahra

haq ki talash mein hi bhaTakti rahi sada
khoi rahi hai ishq mein manzil meri sada

sikha sabaq jo main ne to azbar nahin kiya
pati rahi saza main isi baat ki sada

talKHi gae dinon ki mere sath hi rahi
wo ulTi paD gai jo dua main ne ki sada

kuchh aur dhans gai use khincha agar kabhi
kashti pahan ke ret hi soi rahi sada

main apni khoj mein rahi lekin kuchh is tarah
tera hi zikr ghazlon mein karti rahi sada

'zahra' muaf kar bhi de ek din agar kabhi
to bhi saza milegi use ab wahi sada

(507) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada written by Talat Zahra at UrduPoint. Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada is one of the masterpieces written by Talat Zahra. You can also find the complete poetry collection of Talat Zahra by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Zahra' above.

Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haq Ki Talash Mein Hi BhaTakti Rahi Sada, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.