Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se, Urdu Ghazal By Talat Zahra

Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Zahra. Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نکل آئی ہوں آگے میں گناہوں اور ثوابوں سے

طلعت زہرا

نکل آئی ہوں آگے میں گناہوں اور ثوابوں سے

بہت خوش ہوں کہ میری جان چھوٹی ان عذابوں سے

اٹھا کر رکھ دیے ہیں خیر و شر کے سب بہی کھاتے

بہت مشکل میں تھی سود و زیاں کے ان حسابوں سے

بہت لپٹے رہے یہ جسم و جاں سے بیل کی مانند

حجاب آنے لگا ہے اب تو مجھ کو ان حجابوں سے

ٹھہرنے ہی نہیں دیتے تھے رسم و راہ اور رشتے

نکلتے ہی نہیں تھے پاؤں میرے ان رکابوں سے

گئے وہ دن کہ دوبھر تھا یہاں پر سانس لینا بھی

زمانے نے جکڑ رکھا تھا مجھ کو یوں طنابوں سے

یہاں پر ہر طرف وہم و گماں کی ریت اڑتی ہے

نہیں کھانا مگر دھوکا چمکتے ان سرابوں سے

کسی کے درد ہی بانٹوں میں نکلوں اپنے کمرے سے

رہے گی اور کتنی گفتگو میری کتابوں سے

ڈرا رکھا تھا اتنا اہل منبر نے مجھے زہراؔ

کہ مجھ کو خوف سا آنے لگا تھا اپنے خوابوں سے

طلعت زہرا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se

Talat Zahra

nikal aai hun aage main gunahon aur sawabon se
bahut KHush hun ki meri jaan chhuTi in azabon se

uTha kar rakh diye hain KHair-o-shar ke sab bahi-khate
bahut mushkil mein thi sud-o-ziyan ke in hisabon se

bahut lipTe rahe ye jism-o-jaan se bel ki manind
hijab aane laga hai ab to mujh ko in hijabon se

Thaharne hi nahin dete the rasm-o-rah aur rishte
nikalte hi nahin the panw mere un rakabon se

gae wo din ki dubhar tha yahan par sans lena bhi
zamane ne jakaD rakha tha mujh ko yun tanabon se

yahan par har taraf wahm-o-guman ki ret uDti hai
nahin khana magar dhoka chamakte in sarabon se

kisi ke dard hi banTun main niklun apne kamre se
rahegi aur kitni guftugu meri kitabon se

Dara rakkha tha itna ahl-e-mimbar ne mujhe 'zahra'
ki mujh ko KHauf sa aane laga tha apne KHwabon se

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se written by Talat Zahra at UrduPoint. Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se is one of the masterpieces written by Talat Zahra. You can also find the complete poetry collection of Talat Zahra by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Zahra' above.

Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nikal Aai Hun Aage Main Gunahon Aur Sawabon Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.