ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Tanweer Gauhar

ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tanweer Gauhar. ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چڑھتا سورج اڑتا بادل بہتا دریا کچھ بھی نہیں

تنویر گوہر

چڑھتا سورج اڑتا بادل بہتا دریا کچھ بھی نہیں

سارا تماشا میرے لئے ہے لیکن میرا کچھ بھی نہیں

ان کی ننھی انگلی تو اب کمپیوٹر سے کھیلے ہے

آج کے بچوں کی نظروں میں چندا ماما کچھ بھی نہیں

میرے پیاسے ہونٹوں ہی سے بس دریا کی قیمت ہے

تشنہ لبی کا مول ہے سارا ورنہ دریا کچھ بھی نہیں

اس نے ہم کو ہلدی کیا دی ہم پنساری بن بیٹھے

لینے والے مالک ٹھہرے دینے والا کچھ بھی نہیں

تیرا میرا کرتے کرتے عمر گزاری جاتی ہے

سچ تو یہ ہے تیرا میرا میرا تیرا کچھ بھی نہیں

ہم نظروں نظروں میں اپنے دل کا سودا کر بیٹھے

سوچا سمجھا کچھ بھی نہیں اور دیکھا بھالا کچھ بھی نہیں

ان رشتوں کی بھیڑ میں اکثر مجھ کو ایسا لگتا ہے

ساری دنیا اپنی سگی ہے لیکن اپنا کچھ بھی نہیں

لاکھ کریں ہم سجدہ زمیں پر لاکھ جبیں کو گھس ڈالیں

صاف نہ ہو گر نیت گوہرؔ تو پھر سجدہ کچھ بھی نہیں

تنویر گوہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin

Tanweer Gauhar

chaDhta suraj uDta baadal bahta dariya kuchh bhi nahin
sara tamasha mere liye hai lekin mera kuchh bhi nahin

un ki nannhi ungli to ab computer se khele hai
aaj ke bachchon ki nazron mein chanda-mama kuchh bhi nahin

mere pyase honTon hi se bas dariya ki qimat hai
tishna-labi ka mul hai sara warna dariya kuchh bhi nahin

us ne hum ko haldi kya di hum pansari ban baiThe
lene wale malik Thahre dene wala kuchh bhi nahin

tera mera karte karte 'umr guzari jati hai
sach to ye hai tera mera mera tera kuchh bhi nahin

hum nazron nazron mein apne dil ka sauda kar baiThe
socha-samjha kuchh bhi nahin aur dekha-bhaala kuchh bhi nahin

in rishton ki bhiD mein aksar mujh ko aisa lagta hai
sari duniya apni sagi hai lekin apna kuchh bhi nahin

lakh karen hum sajda zamin par lakh jabin ko ghis Dalen
saf na ho gar niyyat 'gauhar' to phir sajda kuchh bhi nahin

(483) ووٹ وصول ہوئے

You can read ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin written by Tanweer Gauhar at UrduPoint. ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Tanweer Gauhar. You can also find the complete poetry collection of Tanweer Gauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tanweer Gauhar' above.

ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like ChaDhta Suraj UDta Baadal Bahta Dariya Kuchh Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.