Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae, Urdu Ghazal By Afsar Azri

Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afsar Azri. Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae comes under the Love, Sad, Social, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر سوال کا اپنے خود جواب ہو جائے

افسر آذری

ہر سوال کا اپنے خود جواب ہو جائے

ذرے کی تمنا ہے آفتاب ہو جائے

تو کبھی جو بھولے سے بے نقاب ہو جائے

منتقل حقیقت میں اپنا خواب ہو جائے

عشق کے پرستارو کچھ کمی تو ہے ورنہ

بوالہوس محبت میں کامیاب ہو جائے

ہم نفس خدا حافظ غنچہ و عنادل کا

باغباں کی نیت ہی جب خراب ہو جائے

میکدے میں توبہ کا کس کو ہوش رہتا ہے

اور ہر نظر تیری جب شراب ہو جائے

افسر آذری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae

Afsar Azri

har sawal ka apne KHud jawab ho jae
zarre ki tamanna hai aaftab ho jae

tu kabhi jo bhule se be-naqab ho jae
muntaqil haqiqat mein apna KHwab ho jae

ishq ke parastaro kuchh kami to hai warna
bul-hawas mohabbat mein kaamyab ho jae

ham-nafas KHuda-hafiz ghuncha-o-anadil ka
baghban ki niyyat hi jab KHarab ho jae

mai-kade mein tauba ka kis ko hosh rahta hai
aur har nazar teri jab sharab ho jae

(882) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae written by Afsar Azri at UrduPoint. Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae is one of the masterpieces written by Afsar Azri. You can also find the complete poetry collection of Afsar Azri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Azri' above.

Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Sawal Ka Apne KHud Jawab Ho Jae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.